Font by Mehr Nastaliq Web

main KHud ko dekhta hun main hun to sab jahan hai

Ghausi Shah

main KHud ko dekhta hun main hun to sab jahan hai

Ghausi Shah

maiñ ḳhud ko dekhtā huuñ maiñ huuñ to sab jahāñ hai

jo maiñ na huuñ to a.alam ye ḳhayāl hai gumāñ hai

mujhe koī jānegā kyā mujhe maiñ jāntā huuñ

mirī maiñ maiñ huuñ daa.em mirā lā-makāñ makāñ hai

maiñ vajūd-e-dūsrā huuñ maiñ namūd-e-do-jahāñ huuñ

maiñ nishān-e-be-nishāñ huuñ mirā be-nishāñ nishāñ hai

maiñ zuhūr-e-nūr-e-haq huuñ maiñ shuhūd-e-abadiyat huuñ

maiñ vo huuñ ke sirr-e-maulā mirī zaat se ayaañ hai

mirā juz mere koī bhī na hijāb dūsrā hai

mirī zaat ayaañ hai mirī zaat nihāñ hai

maiñ kise batā.ūñ kyā huuñ maiñ ḳhudā huuñ huuñ banda

ke sifāt abd-o-rab mirī zaat meñ nishāñ hai

mirī maiñ vo maiñ nahīñ hai jo jahān kah rahā hai

mirī maiñ vo maiñ hai jis se ye numā.ish-e-jahñ hai

jo maiñ aap ko bhulāyā to phir aap haath aayā

kisī aur ko na paayā ye visāl bayāñ hai

mirī maiñ raaz 'ġhausī' koī mujh se aa ke pūchhe

mirī maiñ shaan kyā hai mirī maiñ meñ kyā nihāñ hai

main KHud ko dekhta hun main hun to sab jahan hai

jo main na hun to aalam ye KHayal hai guman hai

mujhe koi jaanega kya mujhe main hi jaanta hun

meri main main hun daem mera la-makan makan hai

main wajud-e-dusra hun main namud-e-do-jahan hun

main nishan-e-be-nishan hun mera be-nishan nishan hai

main zuhur-e-nur-e-haq hun main shuhud-e-abadiyat hun

main wo hun ke sirr-e-maula meri zat se ayan hai

mera juz mere koi bhi na hijab dusra hai

meri zat hi ayan hai meri zat hi nihan hai

main kise bataun kya hun main KHuda hun ya hun banda

ke sifat abd-o-rab ka meri zat mein nishan hai

meri main wo main nahin hai jo jahan kah raha hai

meri main wo main hai jis se ye numaish-e-jahn hai

jo main aap ko bhulaya to phir aap hath aaya

kisi aur ko na paya ye visal ka bayan hai

meri main ka raaz 'ghausi' koi mujh se aa ke puchhe

meri main ki shan kya hai meri main mein kya nihan hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now