Sufinama

kyun munh takun na dida-e-hairat se chah ka

Kunwar Sukhraj Bahadur ‘Rahmati’

kyun munh takun na dida-e-hairat se chah ka

Kunwar Sukhraj Bahadur ‘Rahmati’

MORE BYKunwar Sukhraj Bahadur ‘Rahmati’

    kyuuñ muñh takūñ na dīda-e-hairat se chaah

    ā.īna rū-e-yār banā hai nigāh

    jab aap ko paas nahīñ rasm-o-rāh

    kyā fā.eda jo ho bhī irāda nibāh

    soz-e-darūñ se jal ke hai surma jo merī ḳhaak

    aañkh un butoñ mujh ko hai gosha panāh

    yuuñ be-hijāb baam pe aayā na kījiye

    qaabū meñ dil rahegā na ik ahl-e-rāh

    taklīf dast-o-taiġh uThāne se fā.eda

    kaafī hai mere qatl ko ḳhanjar nigāh

    yuuñ justujū-e-yār meñ hai be-qarār dil

    bhūlā huā phire koī jis tarah raah

    begāna ban ke pūchhte haiñ haal 'rahmatī'

    jis meñ ho irāda na zāhir nibāh

    kyun munh takun na dida-e-hairat se chah ka

    aaina ru-e-yar bana hai nigah ka

    jab aap hi ko pas nahin rasm-o-rah ka

    kya faeda jo ho bhi irada nibah ka

    soz-e-darun se jal ke hai surma jo meri KHak

    aankh un buton ki mujh ko hai gosha panah ka

    yun be-hijab baam pe aaya na kijiye

    qabu mein dil rahega na ek ahl-e-rah ka

    taklif dast-o-taigh uThane se faeda

    kafi hai mere qatl ko KHanjar nigah ka

    yun justuju-e-yar mein hai be-qarar dil

    bhula hua phire koi jis tarah rah ka

    begana ban ke puchhte hain haal 'rahmati'

    ta jis mein ho irada na zahir nibah ka

    Source :
    • Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 95)
    • Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
    • Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now