Sufinama

zindagi thi ek habab aur usko kya samjha tha main

Betab Kalpvi

zindagi thi ek habab aur usko kya samjha tha main

Betab Kalpvi

MORE BYBetab Kalpvi

    zindagī thī ik habāb aur us ko kyā samjhā thā maiñ

    haañ hayāt-e-jāvedānī se sivā samjhā thā maiñ

    koī samjhā.e ki āḳhir kyā burā samjhā thā maiñ

    un laġhzish ko agar apnī ḳhatā samjhā thā maiñ

    sādgī kahiye use merī ki husn-e-ittifāq

    the vahī qātil jinheñ dard-āshnā samjhā thā maiñ

    kuchh ajab māhaul thā merī shab-e-andoh

    qutub āvāz ko terī sadā samjhā thā maiñ

    dard-e-dil ko maiñ burā kahtā ye mumkin na thā

    dard-e-dil ko bhī tumhārī atā samjhā thā maiñ

    ġhaur se dekhā to paayā us ko shah-e-rag ke qarīb

    apnī kotāh-bīnī se judā samjhā thā maiñ

    sajda-gāh-e-qudsiyāñ sad sajda-gāh-e-ins-o-jin

    husn meñ jalva usī hai bajā samjhā thā maiñ

    ye ġhalat-fahmī na thī to aur phir kyā chiiz thī

    ibtidā-e-ishq ko bhī intihā samjhā thā maiñ

    zindagī ke saath haiñ betāb saarī kulfateñ

    kyā ġhalat thā dard-e-dil ko lā-davā samjhā thā maiñ

    zindagi thi ek habab aur us ko kya samjha tha main

    han hayat-e-jawedani se siwa samjha tha main

    koi samjhae ki aaKHir kya bura samjha tha main

    un ki laghzish ko agar apni KHata samjha tha main

    sadgi kahiye use meri ki husn-e-ittifaq

    the wahi qatil jinhen dard-ashna samjha tha main

    kuchh ajab mahaul tha meri shab-e-andoh ka

    qutub ki aawaz ko teri sada samjha tha main

    dard-e-dil ko main bura kahta ye mumkin hi na tha

    dard-e-dil ko bhi tumhaari hi ata samjha tha main

    ghaur se dekha to paya us ko shah-e-rag ke qarib

    apni hi kotah-bini se juda samjha tha main

    sajda-gah-e-qudsiyan sad sajda-gah-e-ins-o-jin

    husn mein jalwa usi ka hai baja samjha tha main

    ye ghalat-fahmi na thi to aur phir kya chiz thi

    ibtida-e-ishq ko bhi intiha samjha tha main

    zindagi ke sath hain betab sari kulfaten

    kya ghalat tha dard-e-dil ko la-dawa samjha tha main

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.III (Pg. 82)
    • Author : Irfan Abbasi
    • Publication : ` (1983)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now