Sufinama

afsana mere dard ka us yar se kah do

Shah Niyaz Ahmad Barelvi

afsana mere dard ka us yar se kah do

Shah Niyaz Ahmad Barelvi

MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi

    afsāna mere dard us yaar se kah do

    furqat musībat ko dil-āzār se kah do

    ek nahīñ maiñ bhī huuñ un āñkhoñ maarā

    ai ahl-e-nazar nargis-e-bīmār se kah do

    maiñ ishq millat meñ huuñ ai shaiḳh-o-barahman

    ishq mere sub.ha-o-zunnār se kah do

    kyā josh meñ hai ab mai-e-vahdat ḳhum-e-dil meñ

    ublī hai paḌī 'rūmī'-o-'attār' se kah do

    mushkil jo 'niyāz' aa.ī tumheñ faqr meñ darpesh

    shāh-e-najaf haidar-e-karrār se kah do

    afsana mere dard ka us yar se kah do

    furqat ki musibat ko dil-azar se kah do

    ek tu hi nahin main bhi hun un aankhon ka mara

    ai ahl-e-nazar nargis-e-bimar se kah do

    main ishq ki millat mein hun ai shaiKH-o-barahman

    ja ishq mere subha-o-zunnar se kah do

    kya josh mein hai ab mai-e-wahdat KHum-e-dil mein

    ubli hai paDi 'rumi'-o-'attar' se kah do

    mushkil jo 'niyaz' aai tumhein faqr mein darpesh

    ja shah-e-najaf haidar-e-karrar se kah do

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mukarram Ali Warsi

    Mukarram Ali Warsi

    Anwar Hussain Niazi

    Anwar Hussain Niazi

    Tahir Ali & Mahir Ali

    Tahir Ali & Mahir Ali

    Source :
    • Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 153)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now