Sufinama

yar kan kan na phira dahr mein kya-kya ban kar

Imdad Ali Ulvi

yar kan kan na phira dahr mein kya-kya ban kar

Imdad Ali Ulvi

MORE BYImdad Ali Ulvi

    yaar kaañ kaañ na phirā dahr meñ kyā-kyā ban kar

    āḳhirash baiTh gayā ḳhaak putlā ban kar

    rah gayā thā jo adam meñ mirā naqsha ban kar

    aayā ab ālam-e-ījād meñ ḳhāka ban kar

    DhūñDe asrār-e-ḳhudā dil ne jo andhā ban kar

    rah gayā aap pahlū meñ muamma ban kar

    dekh lo ḳhuub mujhe aayā huuñ aisā ban kar

    phir ye farmā.e koī jā.ūñgā kaisā ban kar

    ban gayā zaḳhm-e-jigar dīda-e-bianā ban kar

    dāġh-e-dil chamkā mirā arsh taarā ban kar

    jisne dekhā mujhe hairat se vo muñh taktā rahā

    maiñ bhī aayā huuñ jo duniyā meñ tamāsha ban kar

    be-bahāne ke agar hai tumheñ aane meñ lihāz

    ye lo ham marte haiñ tum aao masīhā ban kar

    dam-e-kHuftan thā kisī rañg-e-tilā.ī ḳhayāl

    uḌ ga.ī niiñd merī sone chiḌiyā ban kar

    maiñ samajhtā thā ibādat ko asbāb-e-najāt

    aatī hai sāmne har-dam mere duniyā ban kar

    'ulvī' chhuTtā nahīñ jab tak ki na ushtur terā

    aa.egā suuī ke naake meñ na dhāga ban kar

    yar kan kan na phira dahr mein kya-kya ban kar

    aaKHirash baiTh gaya KHak ka putla ban kar

    rah gaya tha jo adam mein mera naqsha ban kar

    aaya ab aalam-e-ijad mein KHaka ban kar

    DhunDe asrar-e-KHuda dil ne jo andha ban kar

    rah gaya aap hi pahlu mein muamma ban kar

    dekh lo KHub mujhe aaya hun aisa ban kar

    phir ye farmae koi jaunga kaisa ban kar

    ban gaya zaKHm-e-jigar dida-e-biana ban kar

    dagh-e-dil chamka mera arsh ka tara ban kar

    jisne dekha mujhe hairat se wo munh takta raha

    main bhi aaya hun jo duniya mein tamasha ban kar

    be-bahane ke agar hai tumhein aane mein lihaz

    ye lo hum marte hain tum aao masiha ban kar

    dam-e-kHuftan tha kisi rang-e-tilai ka KHayal

    uD gai nind meri sone ki chiDiya ban kar

    main samajhta tha ibaadat ko hi asbab-e-najat

    aati hai samne har-dam mere duniya ban kar

    'ulwi' chhuTta nahin jab tak ki na ushtur tera

    aaega sui ke nake mein na dhaga ban kar

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Parwez & Miskeen Hussain Qawwal

    Parwez & Miskeen Hussain Qawwal

    Source :
    • Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 323)
    • Edition : Second
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now