Sufinama

aaj rang hai ai maha-rang hai ri

Amir Khusrau

aaj rang hai ai maha-rang hai ri

Amir Khusrau

MORE BYAmir Khusrau

    aaj rañg hai ai mahā-rañg hai

    aaj rañg hai ai mahā-rañg hai

    mere mahbūb ke ghar rañg hai

    mohe piir paayo nijāmuddīn auliyā

    nijāmuddīn auliyā 'alāuddīn auliyā

    'alāuddīn auliyā farīduddīn auliyā

    farīduddīn auliyā qutubuddīn auliyā

    qutubuddīn auliyā mu'īn.uddin auliyā

    mu'īn.uddīn auliyā muhī.uddīn auliyā

    aa muhī.uddīn auliyā muhi.ūddīn auliyā

    vo to jahāñ dekho more sañg hai

    are ai sakhī

    vo to jahāñ dekho moro bar sañg hai

    mohe piir paayo nijāmuddīn auliyā

    aahe aahe aahe

    muñh māñge bar sañg hai

    vo to muñh māñge bar sañg hai

    nijāmuddīn auliyā jag ujiyāro

    jag ujiyāro jagat ujiyāro

    vo to muñh māñge bar sañg hai

    maiñ piir paayo nijāmuddīn auliyā

    'ganj-shakar' more sañg hai

    maiñ to aiso rañg aur nahīñ dekhiyo sakhī

    maiñ to aisī rañg des-bides meñ DhūñD phirī huuñ

    des-bides meñ aahe aahe aahe

    ai torā rañg man bhāyo nijāmuddīn

    muñh māñge bar sañg hai

    sajan milvārā is āñgan

    sajan sajan tan sajan milāv

    is āñgan meñ us āñgan meñ

    are is āñgan meñ vo to us āñgan meñ

    are vo to jahāñ dekho more sañg hai

    aaj rañg hai ai mahā-rañg hai

    ai torā rañg man bhāyo nijāmuddīn

    maiñ to torā rañg man bhāyo nijāmuddīn

    muñh māñge bar sañg hai

    maiñ to aiso rañg aur nahīñ dekhī sakhī

    ai mahbūb-e-ilāhī maiñ to aiso rañg aur nahīñ dekhī

    des-bides meñ DhūñD phirī huuñ

    aaj rañg hai ai mahā-rañg hai

    mere mahbūb ke ghar rañg hai

    aaj rang hai ai maha-rang hai ri

    aaj rang hai ai maha-rang hai ri

    mere mahbub ke ghar rang hai ri

    mohe pir payo nijamuddin auliya

    nijamuddin auliya 'alauddin auliya

    'alauddin auliya fariduddin auliya

    fariduddin auliya qutubuddin auliya

    qutubuddin auliya mu'inuddin auliya

    mu'inuddin auliya muhiuddin auliya

    aa muhiuddin auliya muhiuddin auliya

    wo to jahan dekho more sang hai ri

    are ai ri sakhi ri

    wo to jahan dekho moro bar sang hai ri

    mohe pir payo nijamuddin auliya

    aahe aahe aahe wa

    munh mange bar sang hai ri

    wo to munh mange bar sang hai ri

    nijamuddin auliya jag ujiyaro

    jag ujiyaro jagat ujiyaro

    wo to munh mange bar sang hai ri

    main pir payo nijamuddin auliya

    'ganj-shakar' more sang hai ri

    main to aiso rang aur nahin dekhiyo sakhi ri

    main to aisi rang des-bides mein DhunD phiri hun

    des-bides mein aahe aahe aahe wa

    ai tora rang man bhayo nijamuddin

    munh mange bar sang hai ri

    sajan milwara is aangan ma

    sajan sajan tan sajan milaw ra

    is aangan mein us aangan mein

    are is aangan mein wo to us aangan mein

    are wo to jahan dekho more sang hai ri

    aaj rang hai ai maha-rang hai ri

    ai tora rang man bhayo nijamuddin

    main to tora rang man bhayo nijamuddin

    munh mange bar sang hai ri

    main to aiso rang aur nahin dekhi sakhi ri

    ai mahbub-e-ilahi main to aiso rang aur nahin dekhi

    des-bides mein DhunD phiri hun

    aaj rang hai ai maha-rang hai ri

    mere mahbub ke ghar rang hai ri

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Rahat Fateh Ali Khan

    Rahat Fateh Ali Khan

    Rais Miya'n

    Rais Miya'n

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Junaid Sultani

    Junaid Sultani

    Sarfaraz Chishti

    Sarfaraz Chishti

    Aziz Mian

    Aziz Mian

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    Fareed Ayaz

    Fareed Ayaz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now