Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

qissa ruh-afza aur rizwan-shah

Faez

qissa ruh-afza aur rizwan-shah

Faez

avval naam haq le bolūñ suḳhan

buuñd us tauhīd kholūñ suḳhan

jite haiñ hikāyat ke rābiyāñ

yo qissa unoñ yuuñ kiye hai bayāñ

ke thā chiin meñ ek baḌā bādshāh

duhā.ī phire us ek saal raah

us atrāf meñ thā jise taḳht-o-tāj

itā.at kareñ mālik deve ḳhirāj

vilāyat mulk kuch na thā us ko kam

kisī ke taraf te na thā us ko ġham

vale yoñ kahe muj ko ānand na.iiñ

ke munj nasl meñ ek farzand na.iiñ

jo muj ba.ad achhe vārise taḳht vo

jahāñ meñ nikāle baḌe baḳht vo

merā taḳht us suuñ ke paave nizām

kare mujko aalam mane nek naam

use saltanat tājedārī achhe

duniyāñ meñ merī yādgārī achhe

ḳhudā paas din-rāt māñge nasl

kare ḳhair ḳhairāt us ke badal

ibādat be-tā.at kare be-qayās

kahe yoñ ke rab na kar tuuñ nirās

diyā muj ko thā rab ye martaba

par koī yo dhandagī phabā

atā kar muje yak farzand suuñ

baḳht-vār qābil ḳhirad-mand kuuñ

ke muj tiiñ ko nar achhe us ko dekh

bade us suuñ chauñdhere merā naam nek

yahī aarzū dil meñ dhartā achhe

ḳhudā suuñ munājāt kartā achhe

kiyā ājizī jab vo had te ziyād

diyā haq ne e dil ko us murād

huā band meñ ummīd phuul ek

baḳht-vār farzand maqbūl nek

ke vaisā kisī shaah ko gotī na thā

dariyā meñ bhī is dhaat motī na thā

dekhyā us ko laa.eq talḳh-gāh

to ruuñ huā shaad us shaah

bhot shukr kar e gandorī kiyā

adhik maal vo azīzāñ ko diyā

vazīrāñ ko tashrīf de kar ḳhush-hāl

de in.aam lashkar ko kiitā nihāl

vo ḳhush-nūd apnā hai kar jaan shaah

rakhyā us kerā naañv rizvān-shāh

kyā e ḳhushī saat e din ginā.e

use duud piine ko daa.ī DhuñDhā.e

so paidā huī ek daa.ī bhalī

mehrbān hor gun-bharī māvalī

so lakhan bhot aql tartīb

mulā.em tabī.at mīThī jiib

javāhar sute god us bharā.e

bache ko le god us ke biThā.e

use ḳhuub gāvāñ diye

sandūqāñ suuñ diye

kare us ghaḌī de ko e mulk maal

kare hor qabīle ko us ke nihāl

bachche bhī vo bhot ḳhidmat karī

use paal sambhāl mehnat karī

bachcha thā talag duud us ko pilā.e

karī tabī.at use dhyān aa.e

jab us shāhzāde ko aayā shu.ūr

to karne lagī nek-baḳhtī zuhūr

awwal nam haq ka le bolun suKHan

bund us ki tauhid kholun suKHan

jite hain hikayat ke rabiyan

yo qissa unon yun kiye hai bayan

ke tha chin mein ek baDa baadshah

duhai phire us ki ek sal rah

us atraf mein tha jise taKHt-o-taj

itaat karen malik dewe KHiraj

wilayat mulk kuch na tha us ko kam

kisi ke taraf te na tha us ko gham

wale yon kahe muj ko aanand nain

ke munj nasl mein ek farzand nain

jo muj baad achhe warise taKHt wo

jahan mein nikale baDe baKHt wo

mera taKHt us sun ke pawe nizam

kare mujko aalam mane nek nam

use saltanat tajedari achhe

duniyan mein meri yaadgari achhe

KHuda pas din-raat mange nasl

kare KHair KHairaat us ke badal

ibaadat be-taat kare be-qayas

kahe yon ke ya rab na kar tun niras

diya muj ko tha rab tu ye martaba

par koi yo dhandagi na phaba

ata kar muje yak farzand sun

baKHt-war qabil KHirad-mand kun

ke muj tin ko nar achhe us ko dekh

bade us sun chaundhere mera nam nek

yahi aarzu dil mein dharta achhe

KHuda sun munajat karta achhe

kiya aajizi jab wo had te ziyaad

diya haq ne e dil ko us ka murad

hua band mein ummid ka phul ek

baKHt-war farzand maqbul nek

ke waisa kisi shah ko goti na tha

dariya mein bhi is dhat moti na tha

dekhya us ko laeq talKH-gah ka

to ru run hua shad us shah ka

bhot shukr kar e gandori kiya

adhik mal wo azizan ko diya

waziran ko tashrif de kar KHush-haal

de inam lashkar ko kita nihaal

wo KHush-nud apna hai kar jaan shah

rakhya us kera nanw rizwan-shah

kya e KHushi sat e din ginae

use dud pine ko dai DhunDhae

so paida hui ek dai bhali

mehrban hor gun-bhari mawali

so lakhan bhot aql tartib ki

mulaem tabiat miThi jib ki

jawahar sute god us ka bharae

bache ko le ja god us ke biThae

use KHub gawan diye

sanduqan sun diye

kare us ghaDi de ko e mulk mal

kare hor qabile ko us ke nihaal

bachche ka bhi wo bhot KHidmat kari

use pal sambhaal mehnat kari

bachcha tha talag dud us ko pilae

kari tabiat ta use dhyan aae

jab us shahzade ko aaya shuur

to karne lagi nek-baKHti zuhur

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now