Sufinama

aab mein saya-fagan gir ruKH-e-dilbar hota

Shah Naseer

aab mein saya-fagan gir ruKH-e-dilbar hota

Shah Naseer

MORE BYShah Naseer

    aab meñ sāya-fagan gir ruḳh-e-dilbar hotā

    shāḳh-e-har-mauj se paidā gul-e-ahmar hotā

    mujh ko dekh ā.īna vahshī jo na dilbar hotā

    sūrat-e-halqa-e-zanjīr na jauhar hotā

    haif dekhī na chiiñ us masīhā varna

    charḳh-e-chārum pe terī paas merā guhar hotā

    maiñ agar kahne se us but pahantā zunnār

    dil meñ juuñ rishta-e-tasbīh merā guhar hotā

    saaf ham qat-e-nazar aks-e-duī se karte

    vasl us ā.īna-rū jo musattir hotā

    aab mein saya-fagan gir ruKH-e-dilbar hota

    shaKH-e-har-mauj se paida gul-e-ahmar hota

    mujh ko dekh aaina wahshi jo na dilbar hota

    surat-e-halqa-e-zanjir na jauhar hota

    haif dekhi na chin us ki masiha warna

    charKH-e-chaarum pe teri pas mera guhar hota

    main agar kahne se us but ki pahanta zunnar

    dil mein jun rishta-e-tasbih mera guhar hota

    saf hum qat-e-nazar aks-e-dui se karte

    wasl us aaina-ru ka jo musattir hota

    Source :
    • Book : Intikhab-e-Kulliyat-e-Shah Naseer, Edited: Hafiz Mohammad Akbar (Pg. 9)
    • Author : Shah Naseer
    • Publication : Aalaa Pres Merath
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now