Font by Mehr Nastaliq Web

log mahfil mein hamein ai ishwa-gar dekha kae

Ahsan Marahravi

log mahfil mein hamein ai ishwa-gar dekha kae

Ahsan Marahravi

log mahfil meñ hameñ ai ishva-gar dekhā ka.e

ham alag baiThe hue sab nazar dekhā ka.e

ham ne to dekhā thā ik shab ḳhvāb un ke vasl

aur ta.abīr us dushman umr bhar dekhā ka.e

na sahī qaid meñ aakar mujhe rāhat na sahī

tere chakkar se to ai gardish-e-daurāñ niklā

mazālim sahī vābastagī to un se qaa.em hai

ġhanīmat hai ki vo ham ko kisī qābil samajhte haiñ

kHudā-vandān-e-ulfat bhī ulTā kārḳhāna hai

ki ḳhud dil māñgte haiñ aur hameñ saa.el samajhte haiñ

na daftar khol ai nāma-bar itnā batā mujh ko

gayā thā jis ġharaz se vañh vo baat bhī Thahrī

qiyāmat bhī usi din 'ahsan' apnā sar uThā.egī

hamārī saañs jis din chalte chalte ik ghaḌī Thahrī

bahut baḌh chaḌh ke da.ave chaudhvīñ chāñd karatā hai

hameñ merī qasam uThnā zarā tum bhī sañvar jaanā

girā.e chaar aañsū jis ne mujh be-kas turbat par

samajhtā huuñ ki us ne motiyoñ ke haar Daale haiñ

huā chaak jis vaqt dāmān-e-hastī

laggā phir na paivand us pairahan meñ

log mahfil mein hamein ai ishwa-gar dekha kae

hum alag baiThe hue sab ki nazar dekha kae

hum ne to dekha tha ek shab KHwab un ke wasl ka

aur tabir us ki dushman umr bhar dekha kae

na sahi qaid mein aakar mujhe rahat na sahi

tere chakkar se to ai gardish-e-dauran nikla

mazalim hi sahi wabastagi to un se qaem hai

ghanimat hai ki wo hum ko kisi qabil samajhte hain

kHuda-wandan-e-ulfat ka bhi ulTa karKHana hai

ki KHud dil mangte hain aur hamein sael samajhte hain

na daftar khol tu ai nama-bar itna bata mujh ko

gaya tha jis gharaz se tu wanh wo baat bhi Thahri

qiyamat bhi usi din 'ahsan' apna sar uThaegi

hamari sans jis din chalte chalte ek ghaDi Thahri

bahut baDh chaDh ke dawe chaudhwin ka chand karata hai

hamein meri qasam uThna zara tum bhi sanwar jaana

girae chaar aansu jis ne mujh be-kas ki turbat par

samajhta hun ki us ne motiyon ke haar Dale hain

hua chaak jis waqt daman-e-hasti

lagga phir na paiwand us pairahan mein

Source :
  • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.I (Pg. 30)
  • Author : Irfan Abbasi
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now