Font by Mehr Nastaliq Web

mai-kade mein mujh tak aakHir daur-e-jam aa hi gaya

Behzad Lakhnavi

mai-kade mein mujh tak aakHir daur-e-jam aa hi gaya

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    mai-kade meñ mujh tak ākHir daur-e-jām aa gayā

    merā rañg-e-be-niyāzī mere kaam aa gayā

    jazba-e-be-iḳhtiyār-e-shauq tujh ko kyā kahūñ

    mere lab par be-irāda un naam aa gayā

    āstān-e-yār ke qurbāñ mirā daur-e-hayāt

    jis jagah khonā hai mujh ko vo maqām aa gayā

    ik mire aate mai-ḳhāne meñ saaqī kah uThā

    be-niyāz-e-sāġhar-o-mīna-o-jām aa gayā

    ḳhushk dāmānī shikva kar rahī thī zindagī

    ek taarā TuuT kar bālā-e-bām aa gayā

    ik tasavvur badaulat is tarah hoñ mutma.in

    jaise mere paas vo mahshar-ḳhirām aa gayā

    ab to ai 'bahzād' ḳhud un ke payām aane lagī

    merā jazb-e-shauq ākHir mere kaam aa gayā

    mai-kade mein mujh tak aakHir daur-e-jam aa hi gaya

    mera rang-e-be-niyazi mere kaam aa hi gaya

    jazba-e-be-iKHtiyar-e-shauq tujh ko kya kahun

    mere lab par be-irada un ka nam aa hi gaya

    aastan-e-yar ke qurban mera daur-e-hayat

    jis jagah khona hai mujh ko wo maqam aa hi gaya

    ek mere aate hi mai-KHane mein saqi kah uTha

    be-niyaz-e-saghar-o-mina-o-jam aa hi gaya

    KHushk damani ka shikwa kar rahi thi zindagi

    ek tara TuT kar baala-e-baam aa hi gaya

    ek tasawwur ki badaulat is tarah hon mutmain

    jaise mere pas wo mahshar-KHiram aa hi gaya

    ab to ai 'bahzad' KHud un ke payam aane lagi

    mera jazb-e-shauq aakHir mere kaam aa hi gaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now