Font by Mehr Nastaliq Web

luTe na kyun dil-e-kaunain ya gharib-nawaz

Kamil Shattari

luTe na kyun dil-e-kaunain ya gharib-nawaz

Kamil Shattari

luTe na kyuuñ dil-e-kaunain ġharīb-navāz

ze-farq ba-qadam har adā ġharīb-navāz

merī nazar meñ hai rauza tirā ġharīb-navāz

nigāh-e-shauq hai qibla-numā ġharīb-navāz

tirā vajūd hai jān-e-bahār-e-gulshan-e-chisht

tujhī se nikhat-e-har-gul hai ġharīb-navāz

rasūl-e-haq atā aur tum a.tā-e-rasūl

jo tum mile to sabhī kuchh milā ġharīb-navāz

tumhāre dar se hazāroñ ġharīb palte haiñ

tumhāre kūche saarī fazā ġharīb-navāz

tumhārā dard hai sarmāya-e-hayāt mirā

ḳhudā kare ki ye ho lā-davā ġharīb-navāz

ba-haq-e-kHvāja-e-usmāñ idhar bhī chashm-e-karam

tumhāre dar huuñ maiñ bhī gadā ġharīb-navāz

samajh meñ aa.egā imdād kaise hotī hai

zarā taḌap ke pukāro to ġharīb-navāz

ziyā haiñ sha.m-e-risālat naam kuchh bhī sahī

mujhe to ek haiñ ġhausul-varā ġharīb-navāz

huzūr aap aisā bhī ik ġhulām sahī

panāh dījiye 'kāmil' ko ġharīb-navāz

luTe na kyun dil-e-kaunain ya gharib-nawaz

ze-farq ta ba-qadam har ada gharib-nawaz

meri nazar mein hai rauza tera gharib-nawaz

nigah-e-shauq hai qibla-numa gharib-nawaz

tera wajud hai jaan-e-bahaar-e-gulshan-e-chisht

tujhi se nikhat-e-har-gul hai ya gharib-nawaz

rasul-e-haq ki ata aur tum ata-e-rasul

jo tum mile to sabhi kuchh mila gharib-nawaz

tumhaare dar se hazaron gharib palte hain

tumhaare kuche ki sari faza gharib-nawaz

tumhaara dard hai sarmaya-e-hayat mera

KHuda kare ki ye ho la-dawa gharib-nawaz

ba-haq-e-kHwaja-e-usman idhar bhi chashm-e-karam

tumhaare dar ka hun main bhi gada gharib-nawaz

samajh mein aaega imdad kaise hoti hai

zara taDap ke pukaro to ya gharib-nawaz

ziya hain sham-e-risalat ki nam kuchh bhi sahi

mujhe to ek hain ghausul-wara gharib-nawaz

huzur aap ka aisa bhi ek ghulam sahi

panah dijiye 'kaamil' ko ya gharib-nawaz

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now