gul-badaman gul sarapa gul hi gul hai KHu-e-dost
gul-badāmāñ gul sarāpā gul hī gul hai ḳhū-e-dost
balki vo gul hī nahīñ jis meñ na ho kHushbū-e-dost
guftugū hotī hai merī aaj bhī chāroñ pahar
jab bhī chāhā sāmne aatā rahā hai rū-e-dost
dil kā saudā ho gayā thā chaar jab āñkheñ huiiñ
chain ab miltā nahīñ jab tak na jā.ūñ sū-e-dost
bādshāhat bhī mile to hai mire kis kaam kī
maiñ to banñā chāhtā huuñ bas gadā-e-kū-e-dost
lazzatoñ meñ ek lazzat kā nahīñ koī javāb
jo mazā miltā hai mujh ko baiTh kar pahlū-e-dost
jab bhī āñkheñ band kiiñ the sāmne haft āsmāñ
maiñ ne dekhā hai bahut nazdīk se jādū-e-dost
kaun guzrā hai yahāñ se kyuuñ huā hai ’itr-bez
ġhaur se dekho karishma-sāz hai gesū-e-dost
ham ne maanā ham bahut kamzor haiñ nādār haiñ
bhuul jaate ho bhalā tum kis tarah bāzū-e-dost
'ālam' gargānvī ne she'r achchhe haiñ kahe
kaash un alfāz kī tashbīh ho lūlū-e-dost
gul-badaman gul sarapa gul hi gul hai KHu-e-dost
balki wo gul hi nahin jis mein na ho kHushbu-e-dost
guftugu hoti hai meri aaj bhi chaaron pahar
jab bhi chaha samne aata raha hai ru-e-dost
dil ka sauda ho gaya tha chaar jab aankhen huin
chain ab milta nahin jab tak na jaun su-e-dost
baadshahat bhi mile to hai mere kis kaam ki
main to banna chahta hun bas gada-e-ku-e-dost
lazzaton mein ek lazzat ka nahin koi jawab
jo maza milta hai mujh ko baiTh kar pahlu-e-dost
jab bhi aankhen band kin the samne haft aasman
main ne dekha hai bahut nazdik se jadu-e-dost
kaun guzra hai yahan se kyun hua hai ’itr-bez
ghaur se dekho karishma-saz hai gesu-e-dost
hum ne mana hum bahut kamzor hain nadar hain
bhul jate ho bhala tum kis tarah bazu-e-dost
'alam' garganwi ne she'r achchhe hain kahe
kash un alfaz ki tashbih ho lulu-e-dost
- Book : Mata-e-Haque (Pg. 43)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.