Font by Mehr Nastaliq Web

sitam ki mashq hum ahl-e-junun par jis qadar hogi

Nadim Balkhi

sitam ki mashq hum ahl-e-junun par jis qadar hogi

Nadim Balkhi

sitam mashq ham ahl-e-junūñ par jis qadar hogī

mohabbat aur bhī dil meñ hamāre jalva-gar hogī

kahāñ tak husn se jhūTī mohabbat kār-gar hogī

ḳhirad vaalo ḳhudī ab hamārī rāhbar hogī

azal se tazād-e-nūr-o-zulmat kār-farmā hai

ye duniyā tā-abad vaqf-e-kHayāl-e-kHair-o-shar hogī

sitam ki mashq hum ahl-e-junun par jis qadar hogi

mohabbat aur bhi dil mein hamare jalwa-gar hogi

kahan tak husn se jhuTi mohabbat kar-gar hogi

KHirad walo KHudi hi ab hamari rahbar hogi

azal se hi tazad-e-nur-o-zulmat kar-farma hai

ye duniya ta-abad waqf-e-kHayal-e-kHair-o-shar hogi

Source :
  • Book : Tazkira Muslim shora-e-Bihar-Voll.5 (Pg. 6)
  • Author : Hakeem Syed Ahmadullah Nadwi
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now