Font by Mehr Nastaliq Web

diya saqi ne awwal roz wo paimana masti mein

Nushur Wahidi

diya saqi ne awwal roz wo paimana masti mein

Nushur Wahidi

diyā saaqī ne avval roz vo paimāna mastī meñ

ki maiñ nā-āshnā paikar huā dīvāna mastī meñ

mirī puujā thī kaif-añgez nazroñ parastārī

mirā sajda thā pesh-abrū-e-jānāna mastī meñ

sharāb-e-ātishīñ vo hai ki do ik ghūñT piite

jo saaqī ho to aatā hai nazar paimāna mastī meñ

koī kahtā hai masjid hai koī kahtā hai bāhar

ilāhī kyā maiñ bhūlā huuñ rah-e-mai-ḳhāna mastī meñ

nazar aatā hai mujh ko boriyā bhī taḳht-e-tā.ūsī

gadā rakhtā hai goyā satvat-e-shāhāna mastī meñ

nasha thā mujh ko aur yāroñ ne chāhā chhīn leñ botal

magar kaam aa ga.ī kuchh jur.at-e-rindāna mastī meñ

ḳhabar kyā thī ki vaa.iz hai yahī samjhā ki saaqī hai

uThā aur uTh ke lipTā maiñ be-tābāna mastī meñ

qadam rakhtā kahīñ huuñ aur paḌtā hai kahīñ jākar

'nushūr' is vaqt huuñ kuchh hosh se begāna mastī meñ

diya saqi ne awwal roz wo paimana masti mein

ki main na-ashna paikar hua diwana masti mein

meri puja thi kaif-angez nazron ki parastari

mera sajda tha pesh-abru-e-jaanana masti mein

sharab-e-atishin wo hai ki do ek ghunT pite hi

jo saqi ho to aata hai nazar paimana masti mein

koi kahta hai masjid hai koi kahta hai bahar ja

ilahi kya main bhula hun rah-e-mai-KHana masti mein

nazar aata hai mujh ko boriya bhi taKHt-e-tausi

gada rakhta hai goya satwat-e-shahana masti mein

nasha tha mujh ko aur yaron ne chaha chhin len botal

magar kaam aa gai kuchh jurat-e-rindana masti mein

KHabar kya thi ki waiz hai yahi samjha ki saqi hai

uTha aur uTh ke ja lipTa main be-tabana masti mein

qadam rakhta kahin hun aur paDta hai kahin jakar

'nushur' is waqt hun kuchh hosh se begana masti mein

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now