Font by Mehr Nastaliq Web

be-sabab humse wo ho kar jo KHafa baiThe hain

Shah Akbar Danapuri

be-sabab humse wo ho kar jo KHafa baiThe hain

Shah Akbar Danapuri

be-sabab ham se vo ho kar jo ḳhafā baiThe haiñ

ham bhī dil un taraf se ab uThā baiThe haiñ

kar liyā karte haiñ ka.abe ko isī se salām

ai sanam jab se tire kūche meñ aa baiThe haiñ

kufr-o-islām ke jhagḌe se rihā paa.ī

jab se dil ek but-e-kāfir se lagā baiThe haiñ

kyā ārām shahr-e-ḳhamoshāñ hai vaah

aman meñ haiñ jo yahāñ chain se aa baiThe haiñ

naak meñ kashmakash shaiḳh-o-barhaman se hai dam

ka.aba-o-dair se ham haath uThā baiThe haiñ

vo hameñ jald kareñ qatl ḳhudā de taufīq

ham bahut rose se jiine se ḳhafā baiThe haiñ

ai falak ham kahīñ dete haiñ tire jorūñ se

ham uThā.e hue ik but jafā baiThe haiñ

chaliye to le chaleñ hāthoñ pe phaphole tarah

kyā huā mehdī agar aap lagā baiThe haiñ

ek saa.at tirī jānib se nahīñ muñh phirtā

apne ghar meñ sifat qibla-numā baiThe haiñ

ishq yaad ye paimā.ī hai takmīl 'akbar'

toḌ kar paañv bhalā aap ye kyā baiThe haiñ

be-sabab hum se wo ho kar jo KHafa baiThe hain

hum bhi dil un ki taraf se ab uTha baiThe hain

kar liya karte hain kabe ko isi ja se salam

ai sanam jab se tere kuche mein aa baiThe hain

kufr-o-islam ke jhagDe se riha pai

jab se dil ek but-e-kafir se laga baiThe hain

kya hi aaram ki ja shahr-e-KHamoshan hai wah

aman mein hain jo yahan chain se aa baiThe hain

nak mein kashmakash shaiKH-o-barhaman se hai dam

kaba-o-dair se hum hath uTha baiThe hain

wo hamein jald karen qatl KHuda de taufiq

hum bahut rose se jine se KHafa baiThe hain

ai falak hum kahin dete hain tere jorun se

hum uThae hue ek but ki jafa baiThe hain

chaliye to le chalen hathon pe phaphole ki tarah

kya hua mehdi agar aap laga baiThe hain

ek saat teri jaanib se nahin munh phirta

apne ghar mein sifat qibla-numa baiThe hain

ishq ki yaad ye paimai hai takmil 'akbar'

toD kar panw bhala aap ye kya baiThe hain

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now