Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kya hua gar chashm-e-tar se KHun Tapak kar rah gaya

Shah Naseer

kya hua gar chashm-e-tar se KHun Tapak kar rah gaya

Shah Naseer

kyā huā gar chashm-e-tar se ḳhuuñ Tapak kar rah gayā

bāda-e-gulgūñ sāgar thā chhalak kar rah gayā

dil svād-e-zulf meñ DhūñDhe hai rasta maañg

raah jo bhūlā musāfir so bhaTak kar rah gayā

saiñkaḌoñ mar mar ga.e haiñ ishq ke hāthoñ se aah

maiñ kyā patthar se apnā sar paTak kar rah gayā

ham-rahāñ pahuñche kabhī ke manzil-e-maqsūd ko

do-qadam chalte meñ haihāt thak kar rah gayā

juuñ qafas meñ bulbul-e-shorīda-sar taḌpe hai aah

sīna-e-sad-chāk meñ yuuñ dil phaḌak kar rah gayā

shāyad us ā.īna-rū ke hai bharā dil meñ ġhubār

ḳhaak āshiq par jo vo dāman jhaTak kar rah gayā

surḳh-kashka us but-e-mad-hosh peshānī pe dekh

tā-falak sho.ala mire dam se bhaḌak kar rah gayā

kyā abtar hai na soyā tifl-e-ashk ai mardumāñ

panja-e-mizgāñ se maiñ us ko thapak kar rah gayā

uḌ ga.e kabk-e-darī ke hosh to kab ke the laik

jab tirī raftār ko dekhā bhaTak kar rah gayā

ek dam bhī milī fursat na ghāyal ko tire

teġh ke lagte bas vo to sisak kar rah gayā

taab us baale ke motī nahīñ kyā zulf meñ

ai dil-e-āshufta sach kah kyuuñ tak kar rah gayā

sar-zamīn-e-shām meñ taarā girā hai TuuT kar

añdherī raat meñ jugnū chamak kar rah gayā

taraful-ain us mizhgāñ ke tasavvur se 'nasīr'

ḳhaar āñkhoñ meñ merī kuchh khaTak kar rah gayā

kya hua gar chashm-e-tar se KHun Tapak kar rah gaya

baada-e-gulgun ka sagar tha chhalak kar rah gaya

dil swad-e-zulf mein DhunDhe hai rasta mang ka

rah jo bhula musafir so bhaTak kar rah gaya

sainkaDon mar mar gae hain ishq ke hathon se aah

main hi kya patthar se apna sar paTak kar rah gaya

ham-rahan pahunche kabhī ke manzil-e-maqsud ko

do-qadam chalte hi mein haihat thak kar rah gaya

jun qafas mein bulbul-e-shorida-sar taDpe hai aah

sina-e-sad-chaak mein yun dil phaDak kar rah gaya

shayad us aaina-ru ke hai bhara dil mein ghubar

KHak aashiq par jo wo daman jhaTak kar rah gaya

surKH-kashka us but-e-mad-hosh ki peshani pe dekh

ta-falak shoala mere dam se bhaDak kar rah gaya

kya hi abtar hai na soya tifl-e-ashk ai marduman

panja-e-mizgan se main us ko thapak kar rah gaya

uD gae kabk-e-dari ke hosh to kab ke the laik

jab teri raftar ko dekha bhaTak kar rah gaya

ek dam ki bhi mili fursat na ghayal ko tere

tegh ke lagte hi bas wo to sisak kar rah gaya

tab us baale ke moti ki nahin kya zulf mein

ai dil-e-ashufta sach kah kyun tu tak kar rah gaya

sar-zamin-e-sham mein tara gira hai TuT kar

ya andheri raat mein jugnu chamak kar rah gaya

taraful-ain us ki mizhgan ke tasawwur se 'nasir'

KHar sa aankhon mein meri kuchh khaTak kar rah gaya

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 260)
  • Author : Shah Naseer
  • Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now