Sufinama

dua aur na koi dawa chahta hun

Hasan Azimabadi

dua aur na koi dawa chahta hun

Hasan Azimabadi

MORE BYHasan Azimabadi

    duā aur na koī davā chāhtā huuñ

    dil-e-ġham talab baqā chāhtā huuñ

    taḌapne do bhar ke furqat meñ mujh ko

    maiñ apne ka.e sazā chāhtā huuñ

    sunā hai fanā meñ husūl-e-baqā hai

    kisī talab meñ miTā chāhtā huuñ

    parastish mirī be-niyāz-e-jazā hai

    kisī ko meñ be-mudda.ā chāhtā huuñ

    mujhe zindagī se nahīñ koī matlab

    faqat dard-e-dil davā chāhtā huuñ

    ba-yak jalva jis ne 'hasan' maar Daalā

    vahī dilbarī adā chāhtā huuñ

    dua aur na koi dawa chahta hun

    dil-e-gham talab ki baqa chahta hun

    taDapne do ji bhar ke furqat mein mujh ko

    main apne kae ki saza chahta hun

    suna hai fana mein husul-e-baqa hai

    kisi ki talab mein miTa chahta hun

    parastish meri be-niyaz-e-jaza hai

    kisi ko mein be-muddaa chahta hun

    mujhe zindagi se nahin koi matlab

    faqat dard-e-dil ki dawa chahta hun

    ba-yak jalwa jis ne 'hasan' mar Dala

    wahi dilbari ki ada chahta hun

    Source :
    • Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 86)
    • Publication : Nikhar Press, Mau Nath Bhanjan (1982)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now