Font by Mehr Nastaliq Web

shikwa kisi se kya karen be-dad yar ka

Aazam Chishti

shikwa kisi se kya karen be-dad yar ka

Aazam Chishti

shikvā kisī se kyā kareñ be-dād yaar

afsāna kyā sunā.eñ dil-e-be-qarār

ai ham-nashīñ na pūchh ki muddat ke ba.ad aaj

muñh dekhnā nasīb huā hai bahār

ban-ban ke ashk bah ga.e armān hā-e-dil

kaam aa gayā hai ronā shab-e-intizār

be-gāna-e-firāq se ye tazkira na chheḌ

ham dil jaloñ se pūchh mazā intizār

'āzam' junūñ ne chhīn liye hosh bhī mire

har ik se pūchhtā huuñ pata kū-e-yār

shikwa kisi se kya karen be-dad yar ka

afsana kya sunaen dil-e-be-qarar ka

ai ham-nashin na puchh ki muddat ke baad aaj

munh dekhna nasib hua hai bahaar ka

ban-ban ke ashk bah gae arman ha-e-dil

kaam aa gaya hai rona shab-e-intizar ka

be-gana-e-firaq se ye tazkira na chheD

hum dil jalon se puchh maza intizar ka

'azam' junun ne chhin liye hosh bhi mere

har ek se puchhta hun pata ku-e-yar ka

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now