pamal-e-rah-guzar hun tujhe kuchh KHabar bhi hai
pāmāl-e-rah-guzar huuñ tujhe kuchh ḳhabar bhī hai
o mast-e-nāz dekh yahāñ merā sar bhī hai
yūsuf banā kahīñ to zuleḳhā banā kahīñ
ye 'ishq parda-dār bhī hai parda-dar bhī hai
mauqūf tere sunñe na sunñe pe hai ye haal
qissa mirā darāz bhī hai muḳhtasar bhī hai
'nādir' firāq-e-yār meñ majnūñ to ban gayā
ḳhāna-ba-dosh baiTh kahīñ terā ghar bhī hai
pamal-e-rah-guzar hun tujhe kuchh KHabar bhi hai
o mast-e-naz dekh yahan mera sar bhi hai
yusuf bana kahin to zuleKHa bana kahin
ye 'ishq parda-dar bhi hai parda-dar bhi hai
mauquf tere sunne na sunne pe hai ye haal
qissa mera daraaz bhi hai muKHtasar bhi hai
'nadir' firaq-e-yar mein majnun to ban gaya
KHana-ba-dosh baiTh kahin tera ghar bhi hai
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 214)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.