Font by Mehr Nastaliq Web

kidhar jate ho humse mil ke tum ai jaan idhar aao

Agha Muhammad Daud

kidhar jate ho humse mil ke tum ai jaan idhar aao

Agha Muhammad Daud

kidhar jaate ho ham se mil ke tum ai jaañ idhar aao

na chhoḌo saath merā tum ḳhushī se mere ghar aao

tumhāre dekhne ko ham paḌe phirte haiñ har har

nahīñ qaabū meñ dil apnā kahīñ to tum nazar aao

tumheñ maiñ jāntā huuñ tum badalte ho hazāroñ rañg

nahīñ maiñ ġhair uThā kar parda-e-rū-e-bashar aao

dil-e-muztar taḌaptā hai laboñ par jaan aa.ī hai

hue bezār kyuuñ ham se kabhī bhūle idhar aao

ye do vaqt haiñ mauqūf jin par ham se milnā hai

sar-e-shām aao tum ai sahv bā-vaqt-e-sahar aao

kidhar jate ho hum se mil ke tum ai jaan idhar aao

na chhoDo sath mera tum KHushi se mere ghar aao

tumhaare dekhne ko hum paDe phirte hain har har ja

nahin qabu mein dil apna kahin to tum nazar aao

tumhein main jaanta hun tum badalte ho hazaron rang

nahin main ghair uTha kar parda-e-ru-e-bashar aao

dil-e-muztar taDapta hai labon par jaan aai hai

hue bezar kyun hum se kabhi bhule idhar aao

ye do hi waqt hain mauquf jin par hum se milna hai

sar-e-sham aao tum ai sahw ba-waqt-e-sahar aao

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now