Font by Mehr Nastaliq Web

har aankh mein tera jalwa hai har dil mein surur-o-masti hai

Ameer Bakhsh Sabri

har aankh mein tera jalwa hai har dil mein surur-o-masti hai

Ameer Bakhsh Sabri

har aañkh meñ terā jalva hai har dil meñ surūr-o-mastī hai

bas qābil-e-sajda mere liye sarkār tumhārī hastī hai

har naaz pe miTte jaate haiñ andāz pe miTte jaate haiñ

e sham' tire parvānoñ ye jaan bhī kitnī sastī hai

jis samt guzarte jaate haiñ har gaam pe kā'be bante haiñ

saaqī ke nirāle mastoñ meñ kuchh aisī nirālī mastī hai

mai-ḳhāne ke dīvār-o-dar par mastī mañDlātī phirtī hai

har mast āñkhoñ se dekho kausar sharāb barastī hai

us 'ishq ke kūche meñ ham ne har gaam pe likkhā dekhā hai

jo 'ishq ke bande haiñ un duniyā se nirālī bastī hai

jis pe ‘amīr’-e-sābarī jhuktī hai jabīn-e-shauq vahīñ

sab 'arsh ke rahne vāloñ sajdoñ ko jabīñ tarastī hai

har aankh mein tera jalwa hai har dil mein surur-o-masti hai

bas qabil-e-sajda mere liye sarkar tumhaari hasti hai

har naz pe miTte jate hain andaz pe miTte jate hain

e sham' tere parwanon ki ye jaan bhi kitni sasti hai

jis samt guzarte jate hain har gam pe ka'be bante hain

saqi ke nirale maston mein kuchh aisi nirali masti hai

mai-KHane ke diwar-o-dar par masti manDlati phirti hai

har mast ki aankhon se dekho kausar ki sharab barasti hai

us 'ishq ke kuche mein hum ne har gam pe likkha dekha hai

jo 'ishq ke bande hain un ki duniya se nirali basti hai

jis ja pe ‘amir’-e-sabari ki jhukti hai jabin-e-shauq wahin

sab 'arsh ke rahne walon ki sajdon ko jabin tarasti hai

Source :
  • Book : Kalaam-e-Ameer Sabri (Pg. 74)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now