Sufinama

shauq KHalwat mein bhi hai anjuman-arai ka

Ameer Minai

shauq KHalwat mein bhi hai anjuman-arai ka

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    shauq ḳhalvat meñ bhī hai anjuman-ārā.ī

    ā.īna-ḳhāna hai gosha mirī tanhā.ī

    paañv par tere jo sar hai tire shaidā.ī

    bosa maqsūd hai parda hai jabīñ-sā.ī

    paañv sahrā meñ Tikā kab tire saudā.ī

    dil meñ laale ke rahā daaġh tanhā.ī

    ḳhaak par ḳhuun jo Tapkā tire saudā.ī

    daaġh uchhal kar vo huā lāla-e-sahrā.ī

    ham tire husn ke bāzār se phir jaa.eñ kahāñ

    tuur Thekā ho jo muusā se tamāshā.ī

    be-sabātī-e-chaman hairat-e-nargis se khulī

    mil gayā kaur se surma hameñ bīnā.ī

    shafaq-e-shām nahīñ hai ye mere mātam meñ

    muñh ko aayā hai kalejā shab-e-tanhā.ī

    lā-makāñ par talab ahmad ko ḳhudā ne bhī kiyā

    mutahammil ho bashar kyā ġham tanhā.ī

    rū-safedī mujhe hāsil hai siyah-kārī meñ

    maiñ bhī kyā ḳhat-e-amal huuñ kisī saudā.ī

    shauq-e-dīdār meñ uThtī hai jo har vaqt nigāh

    nā-tavāñ maiñ unheñ shub.ha hai tavānā.ī

    dil-e-kuffār usī se kiye allāh ne ḳhalq

    bach rahā kuchh jo añdherā shab-e-tanhā.ī

    us ruḳh-e-sāf ko dekhūñ to baḌhī aur faroġh

    surma ho gard-e-nazar aañkh bīnā.ī

    Taal jaate haiñ mujhe dekh ke vo ḳhalq kahāñ

    rañg hai muflis-o-mun.im shanāsā.ī

    dast-e-gustāḳh se kar dāman-e-yūsuf ko na chaak

    ai zuleḳhā hai ye kūcha tirī rusvā.ī

    koī aatā nahīñ mujh tak jo ba-juz yād-e-ḳhudā

    lā-makāñ gosha hai shāyad mirī tanhā.ī

    teġh-e-mizhgāñ ġhazab haath lagāyā tum ne

    kaT gayā haa.e nigah chashm-e-tamāshā.ī

    ain sajde meñ muyassar hai nazāra us

    chashm-e-bīnā hai ki daaġh apne jabīñ-sā.ī

    sohbat-e-mardum-e-behis meñ bahaltā nahīñ dil

    laakh tasvīreñ hoñ par rañj hai tanhā.ī

    shauq se teġh lagāo mujhe lekin hai ye Dar

    kHañda-e-zakHm DañDhorā na ho rusvā.ī

    piyās us jo bujhegī to mai-e-kausar se

    zarf aa.alī hai 'amīr' ahmad-e-mīnā.ī

    shauq KHalwat mein bhi hai anjuman-arai ka

    aaina-KHana hai gosha meri tanhai ka

    panw par tere jo sar hai tere shaidai ka

    bosa maqsud hai parda hai jabin-sai ka

    panw sahra mein Tika kab tere saudai ka

    dil mein lale ke raha dagh hi tanhai ka

    KHak par KHun jo Tapka tere saudai ka

    dagh uchhal kar wo hua lala-e-sahrai ka

    hum tere husn ke bazar se phir jaen kahan

    tur Theka ho jo musa se tamashai ka

    be-sabaati-e-chaman hairat-e-nargis se khuli

    mil gaya kaur se surma hamein binai ka

    shafaq-e-sham nahin hai ye mere matam mein

    munh ko aaya hai kaleja shab-e-tanhai ka

    la-makan par talab ahmad ko KHuda ne bhi kiya

    mutahammil ho bashar kya gham tanhai ka

    ru-safedi mujhe hasil hai siyah-kari mein

    main bhi kya KHat-e-amal hun kisi saudai ka

    shauq-e-didar mein uThti hai jo har waqt nigah

    na-tawan main unhen shubha hai tawanai ka

    dil-e-kuffar usi se kiye allah ne KHalq

    bach raha kuchh jo andhera shab-e-tanhai ka

    us ruKH-e-saf ko dekhun to baDhi aur farogh

    surma ho gard-e-nazar aankh ki binai ka

    Tal jate hain mujhe dekh ke wo KHalq kahan

    rang hai muflis-o-munim ki shanasai ka

    dast-e-gustaKH se kar daman-e-yusuf ko na chaak

    ai zuleKHa hai ye kucha teri ruswai ka

    koi aata nahin mujh tak jo ba-juz yaad-e-KHuda

    la-makan gosha hai shayad meri tanhai ka

    tegh-e-mizhgan ka ghazab hath lagaya tum ne

    kaT gaya hae nigah chashm-e-tamashai ka

    ain sajde mein muyassar hai nazara us ka

    chashm-e-bina hai ki dagh apne jabin-sai ka

    sohbat-e-mardum-e-behis mein bahalta nahin dil

    lakh taswiren hon par ranj hai tanhai ka

    shauq se tegh lagao mujhe lekin hai ye Dar

    kHanda-e-zakHm DanDhora na ho ruswai ka

    piyas us ki jo bujhegi to mai-e-kausar se

    zarf aaali hai 'amir' ahmad-e-minai ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now