Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hosh kisi ka bhi na rakh jalwa-gah-e-namaz mein

Asghar Gondvi

hosh kisi ka bhi na rakh jalwa-gah-e-namaz mein

Asghar Gondvi

hosh kisī bhī na rakh jalva-gāh-e-namāz meñ

balki ḳhudā ko bhuul sajda-e-be-niyāz meñ

rāz-e-nishāt-e-kHuld hai kHanda-e-dil-navāz meñ

'aib-o-shuhūd ke rumūz nargis-e-nīm-bāz meñ

aaj to iztirāb-e-shauq had se sivā ho gayā

aur bhī jaan paḌ ga.ī 'ishvā-e-jāñ-gudāz meñ

is se ziyāda aur kyā shokHī-e-naqsh-e-pā kahūñ

barq ik chamak ga.ī aaj sar-e-niyāz meñ

parda-e-dahr kuchh nahīñ ik adā-e-shokH hai

ḳhaak uThā ke Daal dīda-e-imtiyāz meñ

ai dil-e-shokH-o-hīlā jo zer-e-makīn-e-rañg-o-bū

tā.ir-e-qadah ko bhī le dām-gah-e-majāz meñ

sab se adā-e-be-kHudī varna adā-e-husn kyā

hosh jab guzar nahīñ us harīm-e-nāz meñ

hosh kisi ka bhi na rakh jalwa-gah-e-namaz mein

balki KHuda ko bhul ja sajda-e-be-niyaz mein

raaz-e-nishat-e-kHuld hai kHanda-e-dil-nawaz mein

'aib-o-shuhud ke rumuz nargis-e-nim-baz mein

aaj to iztirab-e-shauq had se siwa ho gaya

aur bhi jaan paD gai 'ishwa-e-jaan-gudaz mein

is se ziyaada aur kya shokHi-e-naqsh-e-pa kahun

barq si ek chamak gai aaj sar-e-niyaz mein

parda-e-dahr kuchh nahin ek ada-e-shokH hai

KHak uTha ke Dal di dida-e-imtiyaz mein

ai dil-e-shokH-o-hila jo zer-e-makin-e-rang-o-bu

tair-e-qadah ko bhi le dam-gah-e-majaz mein

sab se ada-e-be-kHudi warna ada-e-husn kya

hosh ka jab guzar nahin us ki harim-e-naz mein

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now