Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tark-e-muddaa kar de ’ain-e-muddaa ho ja

Asghar Gondvi

tark-e-muddaa kar de ’ain-e-muddaa ho ja

Asghar Gondvi

tark-e-mudda'ā kar de ’ain-e-mudda'ā ho

shān-e-’abd paidā kar maz.har-e-ḳhudā ho

us raah meñ miT kar be-niyāz-e-kHilqat ban

husn par fidā hokar husn adā ho

barg-e-gul ke dāman par rañg ban ke jamnā kyā

is fazā-e-gulshan meñ mauja-e-sabā ho

hai jab payām us phir payām kyā terā

hai jab sadā us aap be-sadā ho

aadmī nahīñ suntā aadmī bātoñ ko

paikar-e-’amal ban kar ġhaib sadā ho

sāz-e-dil ke pardoñ ko ḳhud vo chheḌtā hai jab

jān-e-muztarib ban kar bhī lab-kushā ho

qatra-e-tunak-māya bahr-e-be-karāñ hai

apnī ibtidā hokar apnī intihā ho

tark-e-mudda'a kar de ’ain-e-mudda'a ho ja

shan-e-’abd paida kar mazhar-e-KHuda ho ja

us ki rah mein miT kar be-niyaz-e-kHilqat ban

husn par fida hokar husn ki ada ho ja

barg-e-gul ke daman par rang ban ke jamna kya

is faza-e-gulshan mein mauja-e-saba ho ja

tu hai jab payam us ka phir payam kya tera

tu hai jab sada us ki aap be-sada ho ja

aadmi nahin sunta aadmi ki baaton ko

paikar-e-’amal ban kar ghaib ki sada ho ja

saz-e-dil ke pardon ko KHud wo chheDta hai jab

jaan-e-muztarib ban kar tu bhi lab-kusha ho ja

qatra-e-tunak-maya bahr-e-be-karan hai tu

apni ibtida hokar apni intiha ho ja

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now