Font by Mehr Nastaliq Web

aarzu hai wafa kare koi

Dagh Dehlvi

aarzu hai wafa kare koi

Dagh Dehlvi

aarzū hai vafā kare koī

na chāhe to kyā kare koī

gar maraz ho davā kare koī

marne vaale kyā kare koī

koste haiñ jale hue kyā kyā

apne haq meñ du'ā kare koī

un se sab apnī-apnī kahte haiñ

merā matlab adā kare koī

chaah se aap ko to nafrat hai

mujh ko chāhe ḳhudā kare koī

us gile ko gilā nahīñ kahte

gar maze gilā kare koī

ye milī daad rañj-e-furqat

aur dil kahā kare koī

tum sarāpā ho sūrat-e-tasvīr

tum se phir baat kyā kare koī

kahte haiñ ham nahīñ ḳhudā karīm

kyuuñ hamārī ḳhatā kare koī

jis meñ lākhoñ baras hūreñ hoñ

aisī jannat ko kyā kare koī

us jafā par tumheñ tamannā hai

ki mirī iltijā kare koī

muñh lagāte daaġh utar aayā

lutf hai phir jafā kare koī

aarzu hai wafa kare koi

ji na chahe to kya kare koi

gar maraz ho dawa kare koi

marne wale ka kya kare koi

koste hain jale hue kya kya

apne haq mein du'a kare koi

un se sab apni-apni kahte hain

mera matlab ada kare koi

chah se aap ko to nafrat hai

mujh ko chahe KHuda kare koi

us gile ko gila nahin kahte

gar maze ka gila kare koi

ye mili dad ranj-e-furqat ki

aur dil ka kaha kare koi

tum sarapa ho surat-e-taswir

tum se phir baat kya kare koi

kahte hain hum nahin KHuda karim

kyun hamari KHata kare koi

jis mein lakhon baras ki huren hon

aisi jannat ko kya kare koi

us jafa par tumhein tamanna hai

ki meri iltija kare koi

munh lagate hi dagh utar aaya

lutf hai phir jafa kare koi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now