Sufinama

dil ka aalam aashiqi mein kya kahun kya ho gaya

Aughat Shah Warsi

dil ka aalam aashiqi mein kya kahun kya ho gaya

Aughat Shah Warsi

MORE BYAughat Shah Warsi

    dil aalam āshiqī meñ kyā kahūñ kyā ho gayā

    rañj sahte sahte patthar kaleja ho gayā

    chain ek din bhī na paayā maiñ firāq-e-yār meñ

    vahshat-e-dil kam huī thī kuchh ki saudā ho gayā

    gir paḌe ġhash khā ke āshiq aur murde uThe

    do-qadam jab vo chale ye hashr barpā ho gayā

    ho ga.e ham sūrat-e-dīvār us ko dekh kar

    kūcha-e-jānāñ meñ kal apnā ye naqsha ho gayā

    haal sun ke yaar aa.ī tan-e-be-jāñ meñ jaañ

    nāma-bar mere liye goyā masīhā ho gayā

    sair karne baam par aayā jo vo parda-nashīñ

    saarā aalam dekh kar mahv-e-tamāsha ho gayā

    zikr apnā āj-kal sunte haiñ 'aughaT' har kahīñ

    apnī barbādī bhī mash.hūr qissa ho gayā

    dil ka aalam aashiqi mein kya kahun kya ho gaya

    ranj sahte sahte patthar ka kaleja ho gaya

    chain ek din bhi na paya main firaq-e-yar mein

    wahshat-e-dil kam hui thi kuchh ki sauda ho gaya

    gir paDe ghash kha ke aashiq aur murde ji uThe

    do-qadam jab wo chale ye hashr barpa ho gaya

    ho gae hum surat-e-diwar us ko dekh kar

    kucha-e-jaanan mein kal apna ye naqsha ho gaya

    haal sun ke yar ka aai tan-e-be-jaan mein jaan

    nama-bar mere liye goya masiha ho gaya

    sair karne baam par aaya jo wo parda-nashin

    sara aalam dekh kar mahw-e-tamasha ho gaya

    zikr apna aaj-kal sunte hain 'aughaT' har kahin

    apni barbaadi ka bhi mashhur qissa ho gaya

    Source :
    • Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 14)
    • Author : Aughat Shah Warsi
    • Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now