Font by Mehr Nastaliq Web

teri chashm-e-karam ka gar ishaara ho to aisa ho

Faraz Warsi

teri chashm-e-karam ka gar ishaara ho to aisa ho

Faraz Warsi

terī chashm-e-karam gar ishāra ho to aisā ho

kahe ḳhud be-kasī merī sahārā ho to aisā ho

na jumbish ho laboñ par aur dīvānoñ bin aa.e

nigāhoñ nigāhoñ meñ ishāra ho to aisā ho

ba-juz yād-e-sanam jo sab jalā kar ḳhaak kar Daale

mohabbat mere dil meñ sharāra ho to aisā ho

na phaile ġhair ke aage kabhī dast-e-talab merā

mire vāris karam mujh par tumhārā ho to aisā ho

ho zikr-e-yār bāteñ yaar aur yaar ke charche

huā hai rab se shuġhl-e-zīst hamārā ho to aisā ho

ho sar par dāman-e-vāris laboñ par kalma-e-tayyab

safar mahshar ko yā-rab jab hamārā ho to aisā ho

diyā hai dil to dil meñ dard ho aur dard meñ lazzat

karam mujh par mirī jaañ gar tumhārā ho to aisā ho

jahāñ dekhūñ jidhar dekhūñ sahar dekhūñ shab dekhūñ

to bas nazar aa.e nazāra ho to aisā ho

kisī karvaT kisī pahlū sukūn-e-dil na pāūñ maiñ

tirī ulfat meñ hāl-e-dil hamārā ho to aisā ho

jabīñ sajde meñ ho aur sāmne ho nigāhoñ meñ

'farāz' a.alam se jaanā jab hamārā ho to aisā ho

teri chashm-e-karam ka gar ishaara ho to aisa ho

kahe KHud be-kasi meri sahaara ho to aisa ho

na jumbish ho labon par aur diwanon ki bin aae

nigahon hi nigahon mein ishaara ho to aisa ho

ba-juz yaad-e-sanam jo sab jala kar KHak kar Dale

mohabbat ka mere dil mein sharara ho to aisa ho

na phaile ghair ke aage kabhi dast-e-talab mera

mere waris karam mujh par tumhaara ho to aisa ho

ho zikr-e-yar baaten yar ki aur yar ke charche

hua hai rab se shughl-e-zist hamara ho to aisa ho

ho sar par daman-e-waris labon par kalma-e-tayyab

safar mahshar ko ya-rab jab hamara ho to aisa ho

diya hai dil to dil mein dard ho aur dard mein lazzat

karam mujh par meri jaan gar tumhaara ho to aisa ho

jahan dekhun jidhar dekhun sahar dekhun ya shab dekhun

tu hi to bas nazar aae nazara ho to aisa ho

kisi karwaT kisi pahlu sukun-e-dil na paun main

teri ulfat mein haal-e-dil hamara ho to aisa ho

jabin sajde mein ho aur samne tu ho nigahon mein

'faraaz' aalam se jaana jab hamara ho to aisa ho

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now