Sufinama

jahan sab humne chhan mara hasin-e-yakta tumhin ko dekha

Ghausi Shah

jahan sab humne chhan mara hasin-e-yakta tumhin ko dekha

Ghausi Shah

MORE BYGhausi Shah

    jahān sab ham ne chhān maarā hasīn-e-yaktā tumhīñ ko dekhā

    misāl paa.ī har ik hasīñ huzūr tum tumhīñ ko dekhā

    kahīñ jhalak tumhārī dekhī kahīñ sarāpā tumhīñ ko dekhā

    jidhar nazar qasam tumhārī to maiñ ne har-jā tumhīñ ko dekhā

    jo naaz se tan ke us ne pūchhā ki tum ne dekhā hai ham se achchhā

    to bol uTThā tan ke har bun-e-mū ki tum se achchhā tumhīñ ko dekhā

    kahīñ pe mahjūb tum ko paayā kahīñ pe be-parda tum ko dekhā

    nazar thī ma.anā meñ bhī tumhīñ par hue jo paidā tumhīñ ko dekhā

    hazār minnat pe jān-e-ālam naqāb ulTī to ruḳh se aisī

    nigāh laḌāte chhup ga.e phir hayā putlā tumhīñ ko dekhā

    kisī ke dil ko ho mudda.ā tum kisī ke maqsad kisī ke armāñ

    samā rahe ho har ik ke dil meñ ye sab jumla tumhīñ ko dekhā

    tumhārā hai naam sab ke lab par khaTak tumhārī hai sab ke dil meñ

    jahāñ ke pyāre tumhīñ ho pyāre jahāñ pyārā tumhīñ ko dekhā

    agar qiyāmat meñ bhī vo pūchheñ ki merā ham-sar kisī ne dekhā

    to sab se pahle ye bol uThūñgā tumhīñ ko dekhā tumhīñ ko dekhā

    hazāroñ ġham balā.eñ 'ġhausī' jo maiñ ne jhelīñ to yuuñ vo bole

    vafā meñ ham ne jo āzmāyā vafā meñ puurā tumhīñ ko dekhā

    jahan sab hum ne chhan mara hasin-e-yakta tumhin ko dekha

    misal pai har ek hasin ki huzur tum sa tumhin ko dekha

    kahin jhalak si tumhaari dekhi kahin sarapa tumhin ko dekha

    jidhar nazar ki qasam tumhaari to main ne har-ja tumhin ko dekha

    jo naz se tan ke us ne puchha ki tum ne dekha hai hum se achchha

    to bol uTTha tan ke har bun-e-mu ki tum se achchha tumhin ko dekha

    kahin pe mahjub tum ko paya kahin pe be-parda tum ko dekha

    nazar thi mana mein bhi tumhin par hue jo paida tumhin ko dekha

    hazar minnat pe jaan-e-alam naqab ulTi to ruKH se aisi

    nigah laDate hi chhup gae phir haya ka putla tumhin ko dekha

    kisi ke dil ko ho muddaa tum kisi ke maqsad kisi ke arman

    sama rahe ho har ek ke dil mein ye sab ka jumla tumhin ko dekha

    tumhaara hai nam sab ke lab par khaTak tumhaari hai sab ke dil mein

    jahan ke pyare tumhin ho pyare jahan ka pyara tumhin ko dekha

    agar qiyamat mein bhi wo puchhen ki mera ham-sar kisi ne dekha

    to sab se pahle ye bol uThunga tumhin ko dekha tumhin ko dekha

    hazaron gham ki balaen 'ghausi' jo main ne jhelin to yun wo bole

    wafa mein hum ne jo aazmaya wafa mein pura tumhin ko dekha

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now