nazar aate nahin mujhko nikalte hausle dil ke
nazar aate nahīñ mujh ko nikalte hausle dil ke
ilāhī ḳhair karnā kāñpte haiñ haath qātil ke
uThā deñ aap gar apne naqāb-e-rū-e-tābāñ ko
to ho jaa.eñ abhī phīke ye jalve māh-e-kāmil ke
ḳhudā ke vāste sūrat dikhā de ai but-e-qātil
nafas ab chand hī baaqī rahī haiñ terī maa.il ke
taḌap kar jaan denā ḳhush aayā barq ko shāyad
jo gir kar āsmāñ se paañv chūme tere bismil ke
maiñ pahle dil ko rotā thā chale ab dīn-o-īmāñ bhī
qayāmat ke haiñ sab andāz hairāñ mere qātil ke
nazar aate nahin mujh ko nikalte hausle dil ke
ilahi KHair karna kanpte hain hath qatil ke
uTha den aap gar apne naqab-e-ru-e-taban ko
to ho jaen abhi phike ye jalwe mah-e-kaamil ke
KHuda ke waste surat dikha de ai but-e-qatil
nafas ab chand hi baqi rahi hain teri mail ke
taDap kar jaan dena KHush aaya barq ko shayad
jo gir kar aasman se panw chume tere bismil ke
main pahle dil ko rota tha chale ab din-o-iman bhi
qayamat ke hain sab andaz hairan mere qatil ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.