Font by Mehr Nastaliq Web

ek jam khanaktā jam ki saqī raat guzarne walī hai

Qateel Shifai

ek jam khanaktā jam ki saqī raat guzarne walī hai

Qateel Shifai

ik jaam khanaktā jaam ki saaqī raat guzarne vaalī hai

ik hosh-rubā in.aam ki saaqī raat guzarne vaalī hai

vo dekh sitāroñ ke motī har aan bikharte jaate haiñ

aflāk pe hai kohrām ki saaqī raat guzarne vaalī hai

go dekh chukā huuñ pahle bhī nazzāra dariyā-noshī

ek aur salā-e-ām ki saaqī raat guzarne vaalī hai

ye vaqt nahīñ hai bātoñ palkoñ ke saa.e kaam meñ

ilhām koī ilhām ki saaqī raat guzarne vaalī hai

mad-hoshī meñ ehsās ke ūñche ziine se gir jaane de

is vaqt na mujh ko thaam ki saaqī raat guzarne vaalī hai

ek jam khanaktā jam ki saqī raat guzarne walī hai

ek hosh-rubā inam ki saqī raat guzarne walī hai

wo dekh sitāroñ ke motī har aan bikharte jate haiñ

aflāk pe hai kohrām ki saqī raat guzarne walī hai

go dekh chukā huñ pahle bhī nazzāra dariyā-noshī

ek aur salā-e-ām ki saqī raat guzarne walī hai

ye waqt nahīñ hai bātoñ palkoñ ke sae kaam meñ

ilhām koī ilhām ki saqī raat guzarne walī hai

mad-hoshī meñ ehsās ke ūñche zine se gir jaane de

is waqt na mujh ko tham ki saqī raat guzarne walī hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now