puchhte ho hamin se tumhein kya nam tera jo humne sanam le liya

puchhte ho hamin se tumhein kya nam tera jo humne sanam le liya
Mahir Numani
MORE BYMahir Numani
Interesting Fact
مینا راہی قوالہ نے اسے آواز دی ہے۔
pūchhte ho hamīñ se tumheñ kyā naam terā jo ham ne sanam le liyā
apnī marzī ke mālik the ham is liye jān-o-dil bech kar terā ġham le liyā
zabt kar na sake terī furqat ko ham is tarah pyaar meñ tere ham kho ga.e
ban ke dīvāne ham DhūñDhte rah ga.e sar pe ilzām dair-o-haram le liyā
phuul chun-chun ke kāñTe chhuḌāte rahe raah meñ terī palkeñ bichhāte rahe
zarf vāloñ ne ahl-e-chaman ke liye kis qadar kaam terī qasam le liyā
apne jazb-e-vafā se ham majbūr the varna kyuuñ apne sar lete dushvāriyāñ
dushmanoñ kī nazar se chhupeñ kis tarah us mohalle meñ ghar be-rahm le liyā
bazm-e-ḳhūbāñ meñ 'māhir' ko parkhā gayā sirr-e-jazbāt dil ko bhī tolā gayā
husn jab husn vāloñ ko baḳhshā gayā haath meñ shā'iroñ ne qalam le liyā
puchhte ho hamin se tumhein kya nam tera jo hum ne sanam le liya
apni marzi ke malik the hum is liye jaan-o-dil bech kar tera gham le liya
zabt kar na sake teri furqat ko hum is tarah pyar mein tere hum kho gae
ban ke diwane hum DhunDhte rah gae sar pe ilzam dair-o-haram le liya
phul chun-chun ke kanTe chhuDate rahe rah mein teri palken bichhate rahe
zarf walon ne ahl-e-chaman ke liye kis qadar kaam teri qasam le liya
apne jazb-e-wafa se hum majbur the warna kyun apne sar lete dushwariyan
dushmanon ki nazar se chhupen kis tarah us mohalle mein ghar be-rahm le liya
bazm-e-KHuban mein 'mahir' ko parkha gaya sirr-e-jazbaat dil ko bhi tola gaya
husn jab husn walon ko baKHsha gaya hath mein sha'iron ne qalam le liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.