Font by Mehr Nastaliq Web

sahar us husn ke KHurshid ko jakar jaga dekha

Mirza Mazhar Jan-e-Janan

sahar us husn ke KHurshid ko jakar jaga dekha

Mirza Mazhar Jan-e-Janan

sahar us husn ke ḳhurshīd ko jākar jagā dekhā

zuhūr-e-haq kuuñ dekhā ḳhuub dekhā bā-ziyā dekhā

sajan kis-kis maze se aaj dekhā mujh taraf yaaro

ishārat kar ke dekhā hañs ke dekhā muskurā dekhā

maiñ dekhā raat us zulf ke bandoñ ko royā maiñ

sahar zanjīr dekhā daam dekhā azhdahā dekhā

nahīñ paayā mire rone kuuñ aur fariyād kuuñ bādal

baras dekhā jhaḌī kuuñ bāñdh dekhā kaḌkaḌā dekhā

nahīñ miltā mirā nāzuk haTīlā kyā karūñ 'maz.har'

tasadduq ho ke dekhā paañv paḌ dekhā manā dekhā

sahar us husn ke KHurshid ko jakar jaga dekha

zuhur-e-haq kun dekha KHub dekha ba-ziya dekha

sajan kis-kis maze se aaj dekha mujh taraf yaro

ishaarat kar ke dekha hans ke dekha muskura dekha

main dekha raat us ki zulf ke bandon ko roya main

sahar zanjir dekha dam dekha azhdaha dekha

nahin paya mere rone kun aur fariyaad kun baadal

baras dekha jhaDi kun bandh dekha kaDkaDa dekha

nahin milta mera nazuk haTila kya karun 'mazhar'

tasadduq ho ke dekha panw paD dekha mana dekha

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now