Font by Mehr Nastaliq Web

nukta-chīñ hai ġham-e-dil usko sunāe na bane

Mirza Ghalib

nukta-chīñ hai ġham-e-dil usko sunāe na bane

Mirza Ghalib

nukta-chīñ hai ġham-e-dil us ko sunā.e na bane

kyā bane baat jahāñ baat banā.e na bane

maiñ bulātā to huuñ us ko magar ai jazba-e-dil

us pe ban jaa.e kuchh aisī ki bin aa.e na bane

khel samjhā hai kahīñ chhoḌ na de bhuul na jaa.e

kaash yuuñ bhī ho ki bin mere satā.e na bane

ġhair phirtā hai liye yuuñ tire ḳhat ko ki agar

koī pūchhe ki ye kyā hai to chhupā.e na bane

is nazākat burā ho vo bhale haiñ to kyā

haath aaveñ to unheñ haath lagā.e na bane

kah sake kaun ki ye jalvagarī kis hai

parda chhoḌā hai vo us ne ki uThā.e na bane

maut raah na dekhūñ ki bin aa.e na rahe

tum ko chāhūñ ki na aao to bulā.e na bane

bojh vo sar se girā hai ki uThā.e na uThe

kaam vo aan paḌā hai ki banā.e na bane

ishq par zor nahīñ hai ye vo ātish 'ġhālib'

ki lagā.e na lage aur bujhā.e na bane

nukta-chīñ hai ġham-e-dil us ko sunāe na bane

kyā bane baat jahāñ baat banāe na bane

maiñ bulātā to huñ us ko magar ai jazba-e-dil

us pe ban jae kuchh aisī ki bin aae na bane

khel samjhā hai kahīñ chhoḌ na de bhul na jae

kash yuñ bhī ho ki bin mere satāe na bane

ġhair phirtā hai liye yuñ tere ḳhat ko ki agar

koī pūchhe ki ye kyā hai to chhupāe na bane

is nazākat burā ho wo bhale haiñ to kyā

hath aaweñ to unheñ hath lagāe na bane

kah sake kaun ki ye jalwagarī kis hai

parda chhoḌā hai wo us ne ki uThāe na bane

maut rah na dekhūñ ki bin aae na rahe

tum ko chāhūñ ki na aao to bulāe na bane

bojh wo sar se girā hai ki uThāe na uThe

kaam wo aan paḌā hai ki banāe na bane

ishq par zor nahīñ hai ye wo ātish 'ġhālib'

ki lagāe na lage aur bujhāe na bane

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now