Font by Mehr Nastaliq Web

khaDa hun kab se main dar par tere mushtaq darshan ka

Qazi Umrao Ali Jamali

khaDa hun kab se main dar par tere mushtaq darshan ka

Qazi Umrao Ali Jamali

khaḌā huuñ kab se maiñ dar par tire mushtāq darshan

idhar bhī ik nigāh-e-lutf sadqa apne joban

namūna hai tirā rū-e-dil-ārā saaf gulshan

hai nargis-āñkh 'āriz-e-gul dahn-ġhuncha hai sosan

ye hai hūroñ tālib vo butān-e-sāmrī fan

na maiñ ma.aqūl zāhid na qaa.il huuñ barahman

dikhā kar rū-e-anvar le uḌā vo dil ko pahlū se

samā.at kyuuñ na hogī hai vaqūa roz-e-raushan

vo zulfeñ 'āshiq-e-shorīda-sar ko Das ga.iiñ āḳhir

nahīñ āsān hāthoñ par khilānā kaalī nāgin

Dareñ kyuuñ ahl-e-’ismat tābish-e-ḳhurshīd-e-mahshar se

ki hogā sar par un ke sā.ebāñ yūsuf ke dāman

jo dekhā ġhaur se shirk ḳhafī us meñ bhī maḳhfī hai

ki koī dost mamnūñ koī shākī hai dushman

jo kuchh miltā hai insāñ ko ba-qadr-e-zarf miltā hai

ki shai rakhne se pahle dekhte haiñ jauf-e-bartan

ḳhudā hikmatoñ ko kab koī pahchān saktā hai

ki kyuuñ hai ḳhosha-chīñ koī koī mālik hai ḳhirman

'jamālī' se to ai jān-e-jahāñ ye ho nahīñ saktā

ki dushman se tirā shikvā kare aur tujh se dushman

khaDa hun kab se main dar par tere mushtaq darshan ka

idhar bhi ek nigah-e-lutf sadqa apne joban ka

namuna hai tera ru-e-dil-ara saf gulshan ka

hai nargis-ankh 'ariz-e-gul dahn-ghuncha hai sosan ka

ye hai huron ka talib wo butan-e-samri fan ka

na main maqul zahid ka na qail hun barahman ka

dikha kar ru-e-anwar le uDa wo dil ko pahlu se

samaat kyun na hogi hai waqua roz-e-raushan ka

wo zulfen 'ashiq-e-shorida-sar ko Das gain aaKHir

nahin aasan hathon par khilana kali nagin ka

Daren kyun ahl-e-’ismat tabish-e-KHurshid-e-mahshar se

ki hoga sar par un ke saeban yusuf ke daman ka

jo dekha ghaur se shirk KHafi us mein bhi maKHfi hai

ki koi dost ka mamnun koi shaki hai dushman ka

jo kuchh milta hai insan ko ba-qadr-e-zarf milta hai

ki shai rakhne se pahle dekhte hain jauf-e-bartan ka

KHuda ki hikmaton ko kab koi pahchan sakta hai

ki kyun hai KHosha-chin koi koi malik hai KHirman ka

'jamali' se to ai jaan-e-jahan ye ho nahin sakta

ki dushman se tera shikwa kare aur tujh se dushman ka

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now