Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tum jaano tumko ġhair se jo rasm-o-rāh ho

Mirza Ghalib

tum jaano tumko ġhair se jo rasm-o-rāh ho

Mirza Ghalib

tum jaano tum ko ġhair se jo rasm-o-rāh ho

mujh ko bhī pūchhte raho to kyā gunāh ho

bachte nahīñ muvāḳhaza-e-roz-e-hashr se

qātil agar raqīb hai to tum gavāh ho

kyā vo bhī be-gunah-kush o haq-nā-shanās haiñ

maanā ki tum bashar nahīñ ḳhurshīd o maah ho

ubhrā huā naqāb meñ hai un ke ek taar

martā huuñ maiñ ki ye na kisī nigāh ho

jab mai-kada chhuTā to phir ab kyā jagah qaid

masjid ho madrasa ho koī ḳhānqāh ho

sunte haiñ jo bahisht tārīf sab durust

lekin ḳhudā kare vo tirā jalva-gāh ho

'ġhālib' bhī gar na ho to kuchh aisā zarar nahīñ

duniyā ho rab aur mirā bādshāh ho

tum jaano tum ko ġhair se jo rasm-o-rāh ho

mujh ko bhī pūchhte raho to kyā gunāh ho

bachte nahīñ muwāḳhaza-e-roz-e-hashr se

qātil agar raqīb hai to tum gawāh ho

kyā wo bhī be-gunah-kush o haq-nā-shanās haiñ

manā ki tum bashar nahīñ ḳhurshīd o mah ho

ubhrā huā naqāb meñ hai un ke ek tar

martā huñ maiñ ki ye na kisī nigāh ho

jab mai-kada chhuTā to phir ab kyā jagah qaid

masjid ho madrasa ho koī ḳhānqāh ho

sunte haiñ jo bahisht tārīf sab durust

lekin ḳhudā kare wo tirā jalwa-gāh ho

'ġhālib' bhī gar na ho to kuchh aisā zarar nahīñ

duniyā ho rab aur mirā bādshāh ho

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now