tamul kar rag-e-jaan mein nihan allah hi allah hai
tāmul kar rag-e-jāñ meñ nihāñ allāh hī allāh hai
nazar shān-e-basar par kar 'ayāñ allāh hī allāh hai
uThā de parda-e-ism-e-ta’ayyun ko dar-e-dil se
'ayāñ hogā tujhe jumla-jahāñ allāh hī allāh hai
ḳhulāsa hai yahī sair-e-nuzūlī aur ’urūjī kā
zamīñ allāh hī allāh āsmāñ allāh hī allāh hai
banā kar kufr ko ā.īna sūrat dekh īmāñ kī
sanam kī shakl meñ jalva-kunāñ allāh hī allāh hai
pukārā kHāna-e-tan par jo maiñ ne kaun hai ghar meñ
sadā aa.ī dar-e-dil se ki haañ allāh hī allāh hai
'vatan' hai ainamā kā ā.īna pesh-e-nazar jab se
jahāñ meñ dekhtā huuñ maiñ jahāñ allāh hī allāh hai
tamul kar rag-e-jaan mein nihan allah hi allah hai
nazar shan-e-basar par kar 'ayan allah hi allah hai
uTha de parda-e-ism-e-ta’ayyun ko dar-e-dil se
'ayan hoga tujhe jumla-jahan allah hi allah hai
KHulasa hai yahi sair-e-nuzuli aur ’uruji ka
zamin allah hi allah aasman allah hi allah hai
bana kar kufr ko aaina surat dekh iman ki
sanam ki shakl mein jalwa-kunan allah hi allah hai
pukara kHana-e-tan par jo main ne kaun hai ghar mein
sada aai dar-e-dil se ki han allah hi allah hai
'watan' hai ainama ka aaina pesh-e-nazar jab se
jahan mein dekhta hun main jahan allah hi allah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.