Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ye hai allah ka farman har ek ko suna dena

Azizuddin Rizwan Qadri

ye hai allah ka farman har ek ko suna dena

Azizuddin Rizwan Qadri

ye hai allāh farmān har ik ko sunā denā

jo apne aap ko banda samajhtā hai sazā denā

na us ko ḳhauf ho dil meñ na us aarzū dil meñ

jahannam ko bujhā kar aag jannat ko lagā denā

'amal apne ġhalat gar haiñ to de ham ko sazā yā-rab

magar pahle hamāre rahnumāoñ ko sazā denā

azal meñ lāpata the lāpata haiñ lāpata hoñge

pata apnā koī pūchhe to kis ko kyā pata denā

jo andhā ho use dāġh-e-jigar kis tarah dikhlānā

haqīqat meñ jo bahra ho use āvāz kyā denā

abhī allāh nabī iblīs ko maiñ khīñch kar lā.ūñ

agar mā'lūm hai to un 'rizvāñ' ko pata denā

ye hai allah ka farman har ek ko suna dena

jo apne aap ko banda samajhta hai saza dena

na us ko KHauf ho dil mein na us ki aarzu dil mein

jahannam ko bujha kar aag jannat ko laga dena

'amal apne ghalat gar hain to de hum ko saza ya-rab

magar pahle hamare rahnumaon ko saza dena

azal mein lapata the lapata hain lapata honge

pata apna koi puchhe to kis ko kya pata dena

jo andha ho use dagh-e-jigar kis tarah dikhlana

haqiqat mein jo bahra ho use aawaz kya dena

abhi allah nabi iblis ko main khinch kar laun

agar ma'lum hai to un ka 'rizwan' ko pata dena

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Unknown

Unknown

Source :
  • Book : Al-kabeer
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now