Font by Mehr Nastaliq Web

jis pe iimaa.n farz hai 'aalam ko vo iimaa.n hai.n aap

Aziz Safipuri

zinda hai.n jis jaa.n se ajsaam-e-jahaa.n vo jaa.n hai.n aap

zaat vaajib aap kii suurat se pahchaanii ga.ii

yaa nabii-allaah faroG-e-'aalam-e-imkaa.n hai.n aap

aap vo dil-bar hai.n jis ke naam se be-KHud hai.n dil

aa.nkhe.n jis ko dekh ke raushan hu.ii.n vo jaa.n hai.n aap

aap kii zaat muqaddas ko ye samjhaa hai 'aziiz

jis se zaahir ho KHudaa kii shaan vo insaa.n hai.n aap

This content features in following collection(s)

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now