KHaana-e-dil me.n mere tuu mehmaan hai
KHaana-e-dil me.n mere tuu mehmaan hai
kamlii vaale tujhe dekhuu.n armaan hai
terii KHushbuu se mahkā har ik gul yahaa.n
tuu to mahkaa hu.aa ik gulistaan hai
terii galiyo.n se nisbat jise ho ga.ii
puurii insaaniyat me.n vo ziishaan hai
tuu ne kHulq-o-muravvat kii taa'liim dii
saarii duniyaa pe ye teraa ehsaan hai
dil me.n patthar ke bhii 'ishq teraa rahaa
kaun hai vo ki jo tujh se anjaan hai
rabb-e-akbar ne chaahaa hai terii razaa
us se ziyaada kaa kyaa aur imkaan hai
KHaana-e-dil me.n mere tuu mehmaan hai
kamlii vaale tujhe dekhuu.n armaan hai
terii KHushbuu se mahkā har ik gul yahaa.n
tuu to mahkaa hu.aa ik gulistaan hai
terii galiyo.n se nisbat jise ho ga.ii
puurii insaaniyat me.n vo ziishaan hai
tuu ne kHulq-o-muravvat kii taa'liim dii
saarii duniyaa pe ye teraa ehsaan hai
dil me.n patthar ke bhii 'ishq teraa rahaa
kaun hai vo ki jo tujh se anjaan hai
rabb-e-akbar ne chaahaa hai terii razaa
us se ziyaada kaa kyaa aur imkaan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.