faatih-e-kHandaq hunain-o-badr-o-kHaibar hai.n 'alii

Khalid Nadeem Badayuni
MORE BYKhalid Nadeem Badayuni
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت علی مرتضیٰ (نجف-عراق)
faatih-e-kHandaq hunain-o-badr-o-kHaibar hai.n 'alii
iftikHaar-e-masjid-o-mehraab-o-mimbar hai.n 'alii
raushnii-e-diin-e-haq jis ko 'ataa kii aap ne
us ke daaman me.n farozaa.n maah-o-aKHtar hai.n 'alii
aap kii dariyaa-dilii ne ye bhii saabit kar diyaa
aap ke muhtaaj qismat ke sikandar hai.n 'alii
ja.ng me.n jab aa ga.e tanhaa 'alii sher-e-KHudaa
yuu.n lagaa dushman ko jaise ek lashkar hai.n 'alii
is haqiiqat se zamaana muttafiq hai aaj bhii
fikr-o-fan aur ’ilm-o-daanish kaa samundar hai.n 'alii
ek pal me.n aap ne jab teG-e-baatil to.D dii
KHud samajh me.n aa gayaa dushman ke haq par hai.n 'alii

- Book : Anwar-e-Karbala (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.