Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mere aaqa mere murshid bedam-e-ali-janab

Hairat Shah Warsi

mere aaqa mere murshid bedam-e-ali-janab

Hairat Shah Warsi

mere aaqā mere murshid 'bedam'-e-alī-janāb

dar-haqīqat āsmān-e-vārsī ke āftāb

rāz-hā-e-kun-fakāñ the aap par raushan tamām

jalva-e-haq aap haq-bīñ-nazar meñ be-naqāb

kholtā thā bātoñ bātoñ meñ asrār-o-rumūz

aap tarz-e-takallum aap tarz-e-ḳhitāb

dam-zadan meñ haa.e vo mahfil mahfil luT ga.ī

āsmāñ tārīk hai jab ho na raushan āftāb

vāris-e-mushkil-kushā ke lāDle bahr-e-rasūl

apne 'hairat' par nazar ho phir vahī 'hairat' ma.aab

mere aaqa mere murshid 'bedam'-e-ali-janab

dar-haqiqat aasman-e-warsi ke aaftab

raaz-ha-e-kun-fakan the aap par raushan tamam

jalwa-e-haq aap ki haq-bin-nazar mein be-naqab

kholta tha baaton baaton hi mein asrar-o-rumuz

aap ka tarz-e-takallum aap ka tarz-e-KHitab

dam-zadan mein hae wo mahfil ki mahfil luT gai

aasman tarik hai jab ho na raushan aaftab

waris-e-mushkil-kusha ke laDle bahr-e-rasul

apne 'hairat' par nazar ho phir wahi 'hairat' maab

Source :
  • Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 127)
  • Publication : Fine Books Printers (1993)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now