Font by Mehr Nastaliq Web

si-harfi

Turab Ali Dakni

si-harfi

Turab Ali Dakni

alif allāh aap ilāhī aparūp avānkār

ahad nirgun arūpe niranjan antahkaran kartār

be basīrat basar basārat bāñhar behtar dekh

banda bandagī-pan suuñ buuje bārī-ta.alā ek

te ta.ayyun avval tarātan taqvā isthaval

tirkutī tri-mūrtī jis te tirbenī tarmūl

se sanā par sābit ho kar lījiye har naañv

sanā sifat us har kījiye jo har hai har Thāoñ

jiim jamālī jagat jagat jibhva jabrūt jaan

jalāl jamāl par shāhid ho kar jaap jiyo kar dhyān

he haqīqat hukm-e-ilāhī hāzir-o-nāzir jaano

hakīm hāfiz hākim hikmat hājat rakh pahchāno

ḳhe ḳhilqat meñ ḳhalā-malā ho ḳhalvat-ḳhāna kiitā

ḳhāliq ḳhūbī ḳhabar ḳhalaq ḳhaas nabī kuuñ detā

daal dalālt dil par daatā dhyān dhanī kiije

dukh dukhī duur karan kuuñ dhyān daras diije

zaal zalālat zillat saT kar zikar fikar meñ rahnā

zaat sifāt ke zauqoñ bātāñ zākir ho kar kahnā

re riyāzat rab par raazī rahnā raat hor des

raam rahīm rahmān hai ek satgur updes

ze zaanū dhar yād-e-ḳhudā meñ zar zevar sab chhoḌo

zaarī kar kar zeb-o-zīnat ulfat man suuñ toḌo

scene sam.a par sāme.a ho kar sun anjad yaad

sirī sarūpa sab sarat nirita se sakhiyāñ meñ shaad

shiin shahādat shāhid ho kar sharī.at puurā shākir

shauq shuhūd mash.hūdī shaġhloñ daa.im rahnā zākir

saad sabr kar sābir rahnā apnī sāhib karan

sādir vārid āvāgavan par shāhid rakhnā tan-man

zaad ziyāfat zābit ho kar zarūr jaano lāzim

zid ziyā kuuñ zarar karegā zid mat ho ḳhādim

to.e tāqat suuñ tālib ho kar talab hāsil kar tuuñ

tab.a tama.a taraf na kar tarīqat par man dhar tuuñ

zo.e zulm zulmat duur kar zāhir honā

zil meñ murshid-e-kāmil mile to zindagī saarī khonā

ain alī abad kalā kar ainiyat kuuñ būjhe

āshiq aarif o jo jis kuuñ rasm-e-ainī sūjhe

ġhain ġhulām maulā ho kar ġhālib ġhazab par achanā

ġharīb setī ġhanī kalā kar ġhair-o-ġhurūr suuñ bachnā

fe fanā ho faanī fillāh faqar faaqe saat

fahm farāsat fazl karam suuñ fā.eda kiije haat

qaaf qadīm hai qādir qudrat qāhir ism-e-ḳhās

qazā qadar par qaane ho kar rahnā bā-iḳhlās

kaaf kalām par kal kāmil kun kalima simran kar

kufr kibr chhoḌ pichāno karīm par mayar

laam liqā suuñ laT-paT ho kar lazzat ho laal

lāzim karnā majnūñ ḳhātir lailā ahvāl

miim mohammad maulā merā muḳhbir sādiq-pāk

jis ke kāran shashī davā kar hor bhyā aflāk

nuun nāzir hai nūr-e-nabī par hor nubuvvat nādir

nirgun sā.īñ naam niranjan tis kul par qādir

vaav vajūd o vājib tan suuñ vāhid vahdat buujo

valī vilāyat vaalī vāsil vāqif kasrat buujo

he hidāyat haadī ho kar huvallāh batlā.e

har-dam hū-hū naam batā kar sendī mārag laa.e

e yaqīn suuñ yaad ḳhudā yā-hū yā-ho karnā

man araf sab hāsil kar faqad par man dharnā

'turāb' bīsht-o-hasht harf bayāñ kiyā hai saarā

har-yak bait meñ har-yak matlab rākhā haigā nyārā

alif allah aap ilahi aparup awankar

ahad nirgun arupe niranjan antahkaran kartar

be basirat basar basarat banhar behtar dekh

banda bandagi-pan sun buje bari-tala ek

te tayyun awwal taraatan taqwa isthawal

tirkuti tri-murti jis te tirbeni tarmul

se sana par sabit ho kar lijiye har ka nanw

sana sifat us har ka kijiye jo har hai har Thaon

jim jamali jagat jagat ka jibhwa jabrut jaan

jalal jamal par shahid ho kar jap jiyo kar dhyan

he haqiqat hukm-e-ilahi hazir-o-nazir jaano

hakim hafiz hakim hikmat hajat rakh pahchano

KHe KHilqat mein KHala-mala ho KHalwat-KHana kita

KHaliq KHubi KHabar KHalaq ka KHas nabi kun deta

dal dalalt dil par data dhyan dhani ka kije

dukh dukhi ka dur karan kun dhyan daras ka dije

zal zalalat zillat saT kar zikar fikar mein rahna

zat sifat ke zauqon baatan zakir ho kar kahna

re riyazat rab par raazi rahna raat hor des

ram rahim rahman hai ek hi satgur ka updes

ze zanu dhar yaad-e-KHuda mein zar zewar sab chhoDo

zari kar kar zeb-o-zinat ki ulfat man sun toDo

scene sama par samea ho kar sun anjad ka yaad

siri sarupa sab sarat nirita se sakhiyan mein shad

shin shahadat shahid ho kar shariat pura shakir

shauq shuhud mashhudi shaghlon daim rahna zakir

sad sabr kar sabir rahna apnī sahib ka karan

sadir warid aawagawan par shahid rakhna tan-man

zad ziyafat zabit ho kar zarur jaano lazim

zid ziya kun zarar karega zid ka mat ho KHadim

toe taqat sun talib ho kar talab hasil kar tun

taba tama ki taraf na la kar tariqat par man dhar tun

zoe zulm ka zulmat dur kar zahir hona

zil mein murshid-e-kaamil mile to zindagi sari khona

ain ali ka abad kala kar ainiyat kun bujhe

aashiq aarif o jo jis kun rasm-e-aini sujhe

ghain ghulam maula ho kar ghaalib ghazab par achana

gharib seti ghani kala kar ghair-o-ghurur sun bachna

fe fana ho fani fillah faqar faqe sat

fahm farasat fazl karam sun faeda kije hat

qaf qadim hai qadir qudrat qahir ism-e-KHas

qaza qadar par qane ho kar rahna ba-iKHlas

kaf kalam par kal kaamil kun kalima simran kar

kufr kibr ka chhoD pichano karim par mayar

lam liqa sun laT-paT ho kar lazzat li ho lal

lazim karna majnun KHatir laila ka ahwal

mim mohammad maula mera muKHbir sadiq-pak

jis ke karan shashi dawa kar hor bhya aflak

nun nazir hai nur-e-nabi par hor nubuwwat nadir

nirgun sain nam niranjan tis kul par qadir

waw wajud o wajib tan sun wahid wahdat bujo

wali wilayat wali wasil waqif kasrat bujo

he hidayat hadi ho kar huwallah batlae

har-dam hu-hu nam bata kar sendi marag lae

e yaqin sun yaad KHuda ka ya-hu ya-ho karna

man araf sab hasil kar faqad par man dharna

'turab' bisht-o-hasht harf ka bayan kiya hai sara

har-yak bait mein har-yak matlab rakha haiga nyara

Source :
  • Book : Diwan-e-turab (Pg. 494)
  • Author : Shah Turab Ali Dakani
  • Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now