saahib-e-musammaa ism-e-zaat sayyad-ul-kaunain shashum sultaan-ul-faqr ko salaam

Sultan Najibur Rahman
MORE BYSultan Najibur Rahman
saahib-e-musammaa ism-e-zaat sayyad-ul-kaunain shashum sultaan-ul-faqr ko salaam
jis kii nigaah se hu.e munavvar quluub us sultaan-ul-faqr ko salaam
jis ke nuur se naa-qisho.n ko kamaal milaa us insaan-e-kaamil ko salaam
jis ne 'ishq kii mai ko 'aam kar diyaa us saaqii-e-zamaana ko salaam
jism me.n ruuh jis se zinda hu.ii us tabiib-e-baa-kamaal ko salaam
raaz-e-haqiiqat se aagaah jis ne kiyaa us bahr-e-haqiiqat ko salaam
jis ne us KHaadim ko mahram-e-raaz banaayaa us saahib-e-musammaa ism-e-zaat kii 'inaayat ko salaam
nuur kii haqiiqat jahaa.n se milii lillaah kii nishaanii vaale us haadii-e-akmal ko salaam
sultaan-e-'aziiz ke mahbuub ruuh-e-baahuu aur shaah-e-jiilaanii ke matluub ko salaam
'ataa kiyaa sirr-e-huu jis ne 'najiib' jaise be-maaya-o-be-nishaa.n ko us imaam-e-sakHaavat ko salaam

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.