ik āftāb-e-vahdat hai jalvā-baḳhsh-e-kasrat
niklī huvī haiñ galiyāñ sadhā tirī galī meñ
ek aaftab-e-wahdat hai jalwa-baKHsh-e-kasrat
nikli huwi hain galiyan sadha teri gali mein
vasl kī shab ho chukī ruḳhsat qamar hone lagā
āftāb-e-roz-e-mahshar jalva-gar hone lagā
wasl ki shab ho chuki ruKHsat qamar hone laga
aaftab-e-roz-e-mahshar jalwa-gar hone laga
khīñchtā huuñ maiñ tasavvur se ba-dil tasvīr-e-yār
āftāb-e-subh saañ mahbūb mere bar meñ hai
khinchta hun main tasawwur se ba-dil taswir-e-yar
aaftab-e-subh san mahbub mere bar mein hai
zarre ko āftāb kā hamtā banā diyā
'ishq-e-nabī ne qatre ko dariyā banā diyā
zarre ko aaftab ka hamta bana diya
'ishq-e-nabi ne qatre ko dariya bana diya
maiñ zarra thā mujhe zarre se āftāb kiyā
phir ab na zarra banā āftāb kar ke mujhe
main zarra tha mujhe zarre se aaftab kiya
phir ab na zarra bana aaftab kar ke mujhe
baḌh jaa.e kyuuñ na she'r mirā āftāb se
mazmūn ruḳh kā bāñdhā hai kis āb-o-tāb se
baDh jae kyun na she'r mera aaftab se
mazmun ruKH ka bandha hai kis aab-o-tab se
tumhāre dar pe aayā ‘āftāb’ uski jo mushkil hai
karo jaldī se āsāñ hazrat-e-ḳhvājā muīnuddīn
tumhaare dar pe aaya ‘aftab’ uski jo mushkil hai
karo jaldi se aasan hazrat-e-KHwaja muinuddin
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere