merī pahlī parvarish taqdīs kī āġhosh meñ
qudsiyoñ ke sar bhī 'kāmil' mere aage ḳham rahe
meri pahli parwarish taqdis ki aaghosh mein
qudsiyon ke sar bhi 'kaamil' mere aage KHam rahe
niiñd aa aa kar uchaT jaatī hai terī yaad meñ
tār-e-bistar nashtar-e-āġhosh hai tere baġhair
nind aa aa kar uchaT jati hai teri yaad mein
tar-e-bistar nashtar-e-aghosh hai tere baghair
haiñ sadqe kise aaj pyaar aa gayā
ye kaun aa gayā mere āġhosh meñ
hain sadqe kise aaj pyar aa gaya
ye kaun aa gaya mere aaghosh mein
kabhī 'āsī' se ham-āġhosh na dekhā tujh ko
asar-e-jazba-e-dil-e-ahl-e-mohabbat bhī nahīñ
kabhi 'asi' se ham-aghosh na dekha tujh ko
asar-e-jazba-e-dil-e-ahl-e-mohabbat bhi nahin
yuuñ huī ruuh ko mahsūs mohabbat us kī
jaise āġhosh meñ dariyā ke samundar utrā
yun hui ruh ko mahsus mohabbat us ki
jaise aaghosh mein dariya ke samundar utra
mujh ko tanhā dekhne vaale na samjheñ rāz-e-ishq
merī tanhā.ī ke lamhe yaar ke āġhosh haiñ
mujh ko tanhā dekhne wale na samjheñ rāz-e-ishq
merī tanhāī ke lamhe yar ke āġhosh haiñ
maiñ ġhash meñ huuñ mujhe itnā nahīñ hosh
tasavvur hai tirā yā tū ham-āġhosh
main ghash mein hun mujhe itna nahin hosh
tasawwur hai tera ya tu ham-aghosh
hosh kī bāteñ vahī kartā hai aksar hosh meñ
ḳhud bhī jo mahbūb ho mahbūb kī āġhosh meñ
hosh ki baaten wahi karta hai aksar hosh mein
KHud bhi jo mahbub ho mahbub ki aaghosh mein
kahīñ nākām rah jaaye na zauq-e-justujū apnā
adam se bhī ḳhayāl-e-yār-e-ham-āġhosh ho jaanā
kahin nakaam rah jaye na zauq-e-justuju apna
adam se bhi KHayal-e-yar-e-ham-aghosh ho jaana
aap kī tasvīr har-dam dil se ham-āġhosh hai
ya.anī vo behosh huuñ qurbān jis par hosh hai
aap ki taswir har-dam dil se ham-aghosh hai
yani wo behosh hun qurban jis par hosh hai
rāt-din añgḌā.iyāñ vo leñ merī āġhosh meñ
jin hasīnoñ ke liye paidā ye añgḌā.ī huī
raat-din angDaiyan wo len meri aaghosh mein
jin hasinon ke liye paida ye angDai hui
sūrat-e-hastī meñ phir dekheñge shakl-e-raftgāñ
ab talak ā.īna ham-āġhosh-e-ḳhākistar rahā
surat-e-hasti mein phir dekhenge shakl-e-raftgan
ab talak aaina ham-aghosh-e-KHakistar raha
kis tarh na pahlū meñ raqīboñ ko jagah de
āġhosh meñ har sañg ke hotā hai sharar bhī
kis tarh na pahlu mein raqibon ko jagah de
aaghosh mein har sang ke hota hai sharar bhi
dījiye un ko kanār-e-ārzū par iḳhtiyār
jab vo hoñ āġhosh meñ be-dast-o-pā ho jā.iye
dijiye un ko kanar-e-arzu par iKHtiyar
jab wo hon aaghosh mein be-dast-o-pa ho jaiye
na hogā hamārā hī āġhosh ḳhālī
kuchh apnā bhī pahlū tahī pā.iyegā
na hoga hamara hi aaghosh KHali
kuchh apna bhi pahlu tahi paiyega
duniyā-e-havas meñ zindagānī guzrī
āġhosh-e-bahār meñ javānī guzrī
duniya-e-hawas mein zindagani guzri
aaghosh-e-bahaar mein jawani guzri
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere