āshiq hazāroñ sūrat-e-parvāna gir paḌe
ulTī naqāb ruḳh se jo mahfil meñ yaar ne
aashiq hazaron surat-e-parwana gir paDe
ulTi naqab ruKH se jo mahfil mein yar ne
qatl kuchh āshiq hue maqtal meñ us ke haath se
kuchh phire māyūs aur shauq-e-shahādat le chale
qatl kuchh aashiq hue maqtal mein us ke hath se
kuchh phire mayus aur shauq-e-shahadat le chale
dil kā aalam āshiqī meñ kyā kahūñ kyā ho gayā
rañj sahte sahte patthar kā kaleja ho gayā
dil ka aalam aashiqi mein kya kahun kya ho gaya
ranj sahte sahte patthar ka kaleja ho gaya
āshiqoñ ko phir qazā aa.ī qayāmat ho ga.ī
phir samand-e-nāz ko us turk ne jaulāñ kiyā
aashiqon ko phir qaza aai qayamat ho gai
phir samand-e-naz ko us turk ne jaulan kiya
'aughat' jahāñ meñ ab dil-o-dīñ pūchhtā hai kaun
āshiq kā in butoñ meñ koī qadar-dāñ nahīñ
'aughat' jahan mein ab dil-o-din puchhta hai kaun
aashiq ka in buton mein koi qadar-dan nahin
na tum ne qadr kuchh āshiq kī jaanī
bahut ro.o.ge ab tum yaad kar ke
na tum ne qadr kuchh aashiq ki jaani
bahut rooge ab tum yaad kar ke
dard-e-dil avval to vo āshiq kā sunte hī nahīñ
aur jo sunte haiñ to sunte haiñ fasāne kī tarah
dard-e-dil awwal to wo aashiq ka sunte hi nahin
aur jo sunte hain to sunte hain fasane ki tarah
itnā to jānte haiñ ki āshiq fanā huā
aur us se aage baḌh ke ḳhudā jaane kyā huā
itna to jaante hain ki aashiq fana hua
aur us se aage baDh ke KHuda jaane kya hua
muñh phere hue to mujh se jaatā hai kahāñ
mar jā.egā āshiq tirā aare aare
munh phere hue to mujh se jata hai kahan
mar jaega aashiq tera aare aare
mohabbat jab huī ġhālib nahīñ chhuptī chhupāne se
fuġhān-o-āh-o-nāla hai tire āshiq kā naqqārā
mohabbat jab hui ghaalib nahin chhupti chhupane se
fughan-o-ah-o-nala hai tere aashiq ka naqqara
gir paḌe ġhash khā ke āshiq aur murde jī uThe
do-qadam jab vo chale ye hashr barpā ho gayā
gir paDe ghash kha ke aashiq aur murde ji uThe
do-qadam jab wo chale ye hashr barpa ho gaya
ham to āshiq haiñ tere sūraj pe juuñ sūraj-mukhī
ho jidhar tū bas udhar hī muñh hamārā phir gayā
hum to aashiq hain tere suraj pe jun suraj-mukhi
ho jidhar tu bas udhar hi munh hamara phir gaya
tum ko kahte haiñ ki āshiq kī fuġhāñ sunte ho
ye to kahne hī kī bāteñ haiñ kahāñ sunte ho
tum ko kahte hain ki aashiq ki fughan sunte ho
ye to kahne hi ki baaten hain kahan sunte ho
usī ko kāmyāb-e-dīd kahte haiñ nazar vaale
vo āshiq jo halāk-e-hasrat-e-dīdār ho jaa.e
usi ko kaamyab-e-did kahte hain nazar wale
wo aashiq jo halak-e-hasrat-e-didar ho jae
dīn-o-maz.hab se tire āshiq ko ab kyā kaam hai
vo samajhtā hī nahīñ kyā kufr kyā islām hai
din-o-mazhab se tere aashiq ko ab kya kaam hai
wo samajhta hi nahin kya kufr kya islam hai
lafz-e-ulfat kī mukammal sharh ik terā vajūd
āshiqī meñ toḌ Dālīñ zāhirī saarī quyūd
lafz-e-ulfat ki mukammal sharh ek tera wajud
aashiqi mein toD Dalin zahiri sari quyud
āshiq na ho to husn kā ghar be-charāġh hai
lailā ko qais sham.a ko parvāna chāhiye
aashiq na ho to husn ka ghar be-charagh hai
laila ko qais shama ko parwana chahiye
kahā us ne ki 'akbar' kis ke āshiq ho kahā maiñ ne
tumhārī pyārī aadat kā tumhārī bholī sūrat kā
kaha us ne ki 'akbar' kis ke aashiq ho kaha main ne
tumhaari pyari aadat ka tumhaari bholi surat ka
ḳhabar apnī nahīñ rakhte ḳhabar ġhairoñ kī kyā rakheñ
ki āshiq mā-sivā-e-yār se be-zār baiThe haiñ
KHabar apni nahin rakhte KHabar ghairon ki kya rakhen
ki aashiq ma-siwa-e-yar se be-zar baiThe hain
dam toḌ rahā hai dekh zarā āshiq hai tirā kushta hai tirā
ai mohnī sūrat vaale hasīñ mahbūb ko yuuñ barbād na kar
dam toD raha hai dekh zara aashiq hai tera kushta hai tera
ai mohni surat wale hasin mahbub ko yun barbaad na kar
piirī ne bharā hai phir javānī kā ruup
āshiq hue ham ek but-e-kam-sin ke
piri ne bhara hai phir jawani ka rup
aashiq hue hum ek but-e-kam-sin ke
shāyad us ā.īna-rū ke hai bharā dil meñ ġhubār
ḳhaak āshiq par jo vo dāman jhaTak kar rah gayā
shayad us aaina-ru ke hai bhara dil mein ghubar
KHak aashiq par jo wo daman jhaTak kar rah gaya
daur aa.e aisā koī 'amīr' ab
ahbāb par hoñ ahbāb 'āshiq
daur aae aisa koi 'amir' ab
ahbab par hon ahbab 'ashiq
farq kyā 'āshiq-o-mā'shūq meñ bas itnā hai
koī dīvāna banā.e koī dīvāna bane
farq kya 'ashiq-o-ma'shuq mein bas itna hai
koi diwana banae koi diwana bane
ārzū-e-'āshiq dil-gīr aadhī rah ga.ī
yā'nī us ke vasl kī tadbīr aadhī rah ga.ī
aarzu-e-'ashiq dil-gir aadhi rah gai
ya'ni us ke wasl ki tadbir aadhi rah gai
hai āshiq ko apne sanam kī qasam
mujhe tere ḳhāk-e-qadam kī qasam
hai aashiq ko apne sanam ki qasam
mujhe tere KHak-e-qadam ki qasam
'āshiq huuñ maiñ to us sanam-e-b-’adīl kā
but-ḳhāna meñ jo rāh-numā thā ḳhalīl kā
'ashiq hun main to us sanam-e-b-’adil ka
but-KHana mein jo rah-numa tha KHalil ka
ma.ashūq-e-pā-bos meñ āshiq ne bichā.ī āñkheñ
farsh-e-gul par kabhī is shoḳh ko chalne na diyā
mashuq-e-pa-bos mein aashiq ne bichai aankhen
farsh-e-gul par kabhi is shoKH ko chalne na diya
ik lafz-e-mohabbat kā adnā ye fasānā hai
simTe to dil āshiq phaile to zamānā hai
ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil aashiq phaile to zamana hai
dil ke har goshe meñ tū ho āshiqī aisī to ho
maiñ terā ho kar rahūñ ab zindagī aisī to ho
dil ke har goshe mein tu ho aashiqi aisi to ho
main tera ho kar rahun ab zindagi aisi to ho
jo āshiq haiñ tere taḌapte nahīñ haiñ
kabhī āh-o-nāle vo karte nahīñ haiñ
jo aashiq hain tere taDapte nahin hain
kabhi aah-o-nale wo karte nahin hain
ishq meñ āshiq kī ye me.arāj hai
qatl ho qātil kā muñh dekhā kare
ishq mein aashiq ki ye mearaj hai
qatl ho qatil ka munh dekha kare
un kī hasrat ke sivā hai kaun is meñ dūsrā
dil kī ḳhalvat meñ bhī vo āshiq se sharmāte haiñ kyuuñ
un ki hasrat ke siwa hai kaun is mein dusra
dil ki KHalwat mein bhi wo aashiq se sharmate hain kyun
gar āshiq sādiq hai us kā mat ulfat tū ġhair se joḌ
zulm kare yā sitam kare tū ishq se us ke muñh mat moḌ
gar aashiq sadiq hai us ka mat ulfat tu ghair se joD
zulm kare ya sitam kare tu ishq se us ke munh mat moD
umīd-vār haiñ har samt āshiqoñ ke giroh
tirī nigāh ko allāh dil-navāz kare
umid-war hain har samt aashiqon ke giroh
teri nigah ko allah dil-nawaz kare
mujh ko mil jaaye to tadbīr-e-tasallī pūchhūñ
tū ne jis aañkh se āshiq kā taḌapnā dekhā
mujh ko mil jaye to tadbir-e-tasalli puchhun
tu ne jis aankh se aashiq ka taDapna dekha
tere āshiq tere shaidā kā ye haal
haa.e kaise tujh se dekhā jaa.e hai
tere aashiq tere shaida ka ye haal
hae kaise tujh se dekha jae hai
āshiqoñ ke hoñge rāh-e-yār meñ kyā kyā hujūm
shauq jin ko kārvāñ-dar-kārvāñ le jā.egā
aashiqon ke honge rah-e-yar mein kya kya hujum
shauq jin ko karwan-dar-karwan le jaega
dam-ba-dam yuuñ jo bad-gumānī hai
kuchh to āshiq kī tujh ko chaah paḌī
dam-ba-dam yun jo bad-gumani hai
kuchh to aashiq ki tujh ko chah paDi
ai sitamgar bevafā ye bevafā.ī kab talak
āshiqoñ kī tere kūche meñ duhā.ī kab talak
ai sitamgar bewafa ye bewafai kab talak
aashiqon ki tere kuche mein duhai kab talak
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere