chāroñ-samt añdherā phailā aise meñ kyā rasta sūjhe
parbat sar par TuuT rahe haiñ paañv meñ dariyā bahtā hai
chaaron-samt andhera phaila aise mein kya rasta sujhe
parbat sar par TuT rahe hain panw mein dariya bahta hai
maiñ añdherī gor huuñ aur tū tajallī tuur kī
raushnī de jā charāġh-e-rū-e-jānāna mujhe
main andheri gor hun aur tu tajalli tur ki
raushni de ja charagh-e-ru-e-jaanana mujhe
निकल कर ज़ुल्फ़ से पहुँचूँगा क्यूँकर मुसहफ़-ए-रुख़ पर
अकेला हूँ अँधेरी रात है और दूर मंज़िल है
निकल कर ज़ुल्फ़ से पहुँचूँगा क्यूँकर मुसहफ़-ए-रुख़ पर
अकेला हूँ अँधेरी रात है और दूर मंज़िल है
shab-e-daijūr añdhere meñ hai bādal ke nihāñ
lailā mahmil meñ hai Daale hue muñh par āñchal
shab-e-daijur andhere mein hai baadal ke nihan
laila mahmil mein hai Dale hue munh par aanchal
tum apnī zulf kholo phir dil-e-pur-dāġh chamkegā
añdherā ho to kuchh kuchh sham.a kī āñkhoñ meñ nuur aa.e
tum apni zulf kholo phir dil-e-pur-dagh chamkega
andhera ho to kuchh kuchh shama ki aankhon mein nur aae
baḌe ḳhulūs se māñgī thī raushnī kī duā
baḌhā kuchh aur añdherā charāġh jalne se
baDe KHulus se mangi thi raushni ki dua
baDha kuchh aur andhera charagh jalne se
aañkh raushan ho to duniyā ke añdhere kyā haiñ
rasta mahtāb ko rātoñ kī siyāhī meñ milā
aankh raushan ho to duniya ke andhere kya hain
rasta mahtab ko raaton ki siyahi mein mila
ik raaz hai ai 'muztar' turbat kā añdherā bhī
aa.ī hai paye mātam ka.abe kī siyah-poshī
ek raaz hai ai 'muztar' turbat ka andhera bhi
aai hai paye matam kabe ki siyah-poshi
uTh ke añdherī rātoñ meñ ham tujh ko pukārā karte haiñ
har chiiz se nafrat ham ko huī ham jannat-e-fardā bhuul ga.e
uTh ke andheri raaton mein hum tujh ko pukara karte hain
har chiz se nafrat hum ko hui hum jannat-e-farda bhul gae
ye añdherā pahle sūraj ko churā le jā.egā
phir zamāne se ujāloñ ko uThā le jā.egā
ye andhera pahle suraj ko chura le jaega
phir zamane se ujalon ko uTha le jaega
jā ko koī pakḌe to kaise kaam karat hai nazar na aa.e
chupke chupke sendh lagāve din hove yā añdherī ratiyāñ
ja ko koi pakDe to kaise kaam karat hai nazar na aae
chupke chupke sendh lagawe din howe ya andheri ratiyan
dhuāñ aahoñ kā apnī rañg laayā
añdherā ho gayā hai āsmāñ par
dhuan aahon ka apni rang laya
andhera ho gaya hai aasman par
tum aa.e raushnī phailī huā din khul ga.iiñ āñkheñ
añdherā sā añdherā chhā rahā thā bazm-e-imkāñ meñ
tum aae raushni phaili hua din khul gain aankhen
andhera sa andhera chha raha tha bazm-e-imkan mein
ye raat kyuuñ na ho afzal tamām rātoñ meñ
liye hue haiñ añdhere charāġh hāthoñ meñ
ye raat kyun na ho afzal tamam raaton mein
liye hue hain andhere charagh hathon mein
sar-zamīn-e-shām meñ taarā girā hai TuuT kar
yā añdherī raat meñ jugnū chamak kar rah gayā
sar-zamin-e-sham mein tara gira hai TuT kar
ya andheri raat mein jugnu chamak kar rah gaya
jīvan kī uljhī rāhoñ meñ jab ghor añdherā aatā hai
hāthoñ meñ liye raushan mash.al to guru hamāre milte haiñ
jiwan ki uljhi rahon mein jab ghor andhera aata hai
hathon mein liye raushan mashal to guru hamare milte hain
is paap kī nagrī meñ har or añdherā hai
ujiyār meñ bas vo hai jo tujh ko piyā chāhe
is pap ki nagri mein har or andhera hai
ujiyar mein bas wo hai jo tujh ko piya chahe
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere