Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

Arzu Shayari

sāġhar aarzū hai na paimāna chāhiye

bas ik nigāh-e-murshid-e-maiḳhāna chāhiye

saghar ki aarzu hai na paimana chahiye

bas ek nigah-e-murshid-e-maiKHana chahiye

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

aarzū ye hai tumhārā āñchal āñkhoñ se lage

kuchh samajhte ho ki ham rote hue aate haiñ kyuuñ

aarzu ye hai tumhaara aanchal aankhon se lage

kuchh samajhte ho ki hum rote hue aate hain kyun

Aasi Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

aarzū hasrat tamannā mudda.ā koī nahīñ

jab se tum ho mere dil meñ dūsrā koī nahīñ

aarzu hasrat tamanna muddaa koi nahin

jab se tum ho mere dil mein dusra koi nahin

Purnam Allahabadi
  • Share this
  • Critique

aarzū hai ki tirā dhyān rahe tā-dam-e-marg

shakl terī nazar aa.e mujhe jab aa.e ajal

aarzu hai ki tera dhyan rahe ta-dam-e-marg

shakl teri nazar aae mujhe jab aae ajal

Mohsin Kakorvi
  • Share this
  • Critique

har aañkh ko hai tirī tamannā

har dil meñ tirī aarzū hai

har aankh ko hai teri tamanna

har dil mein teri hi aarzu hai

Aarif Islampuri
  • Share this
  • Critique

aarzū hai 'vafā' yahī apnī

un ke qadmoñ meñ dam nikal jaa.e

aarzu hai 'wafa' yahi apni

un ke qadmon mein dam nikal jae

Wafa Warsi
  • Share this
  • Critique

ye fareb-e-taskīñ hai tark-e-ārzū ma.alūm

tark-e-ārzū 'maikash' ye bhī aarzū hai

ye fareb-e-taskin hai tark-e-arzu malum

tark-e-arzu 'maikash' ye bhi aarzu hi hai

Maikash Akbarabadi
  • Share this
  • Critique

kahīñ ruḳh badal na le ab mirī aarzū dhārā

vo badal rahe haiñ nazreñ mirī zindagī badal kar

kahin ruKH badal na le ab meri aarzu ka dhaara

wo badal rahe hain nazren meri zindagi badal kar

Aziz Warsi Dehlvi
  • Share this
  • Critique

ise bhī nāvak-e-jānāñ apne saath letā

ki merī aarzū dil se nikalne ko tarastī hai

ise bhi nawak-e-jaanan tu apne sath leta ja

ki meri aarzu dil se nikalne ko tarasti hai

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

pahuñch jaatī hai kisī ke gosh-e-dil tak

hamārī aarzū itnī kahāñ hai

pahunch jati hai kisi ke gosh-e-dil tak

hamari aarzu itni kahan hai

Benazir Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

rahī ye aarzū āḳhir ke dam tak

na pahuñchā sar mirā tere qadam tak

rahi ye aarzu aaKHir ke dam tak

na pahuncha sar mera tere qadam tak

Khwaja Ruknuddin Ishq
  • Share this
  • Critique

hasrat-o-yās-o-ārzū shauq iqtidā kareñ

kushta-e-ġham laash par dhuum se ho namāz-e-ishq

hasrat-o-yas-o-arzu shauq ka iqtida karen

kushta-e-gham ki lash par dhum se ho namaz-e-ishq

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

muddatoñ se aarzū ye dil meñ hai

ek din ghar hamāre aa.iye

muddaton se aarzu ye dil mein hai

ek din tu ghar hamare aaiye

Meer Muhammad Bedar
  • Share this
  • Critique

us vaqt tak sulagtī rahī us aarzū

jab tak dhueñ se saarā badan bhar nahīñ gayā

us waqt tak sulagti rahi us ki aarzu

jab tak dhuen se sara badan bhar nahin gaya

Muzaffar Warsi
  • Share this
  • Critique

donoñ jānib agar aarzū vasl koī tūfāñ uThā.e to maiñ kyā karūñ

ishq unheñ gudgudā.e to vo kyā kareñ husn mujh ko bulā.e to maiñ kyā karūñ

donon jaanib agar aarzu wasl ki koi tufan uThae to main kya karun

ishq unhen gudgudae to wo kya karen husn mujh ko bulae to main kya karun

Abdul Hadi Kavish
  • Share this
  • Critique

aarzū ham nāḳhudā kyuuñ kareñ

apnī kashtī to afsar aur hai

aarzu hum naKHuda ki kyun karen

apnī kashti ka to afsar aur hai

Mardan Safi
  • Share this
  • Critique

ye aarzū hai ki vo nāma-bar se le kāġhaz

balā se phaaḌ ke phir haath meñ na le kāġhaz

ye aarzu hai ki wo nama-bar se le kaghaz

bala se phaD ke phir hath mein na le kaghaz

Ehsanullah Khan Bayan
  • Share this
  • Critique

mohabbat meñ sarāpā ārzū-dar-ārzū maiñ huuñ

tamannā dil mirā hai aur mire dil tamannā

mohabbat mein sarapa aarzu-dar-arzu main hun

tamanna dil mera hai aur mere dil ki tamanna tu

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

merā dam bhī sama.a meñ nikle

ab yahī hai ik aarzū ḳhvāja

mera dam bhi sama mein nikle

ab yahī hai ek aarzu KHwaja

Moeen Nizami
  • Share this
  • Critique

kalīm baat baḌhāte na guftugū karte

lab-e-ḳhāmosh se iz.hār-e-ārzū karte

kalim baat baDhate na guftugu karte

lab-e-KHamosh se izhaar-e-arzu karte

Riyaz Khairabadi
  • Share this
  • Critique

mileñ bhī vo to kyūñkar aarzū bar aa.egī dil

na hogā ḳhud ḳhayāl un ko na hogī iltijā mujh se

milen bhi wo to kyunkar aarzu bar aaegi dil ki

na hoga KHud KHayal un ko na hogi iltija mujh se

Hasrat Mohani
  • Share this
  • Critique

tasavvur meñ vo ā.eñge to puurī aarzū hogī

vo mere paas hoñge aur un se guftugū hogī

tasawwur mein wo aaenge to puri aarzu hogi

wo mere pas honge aur un se guftugu hogi

Sadiq Dehlvi
  • Share this
  • Critique

ab to 'sādiq' hai ye aarzū

ishq merī manzil bane

ab to 'sadiq' hai ye aarzu

ishq hi meri manzil bane

Sadiq Dehlvi
  • Share this
  • Critique

na nikle jab koī armāñ na koī aarzū niklī

to apnī hasratoñ ḳhuun honā is ko kahte haiñ

na nikle jab koi arman na koi aarzu nikli

to apni hasraton ka KHun hona is ko kahte hain

Raqim Dehlvi
  • Share this
  • Critique

hamārī aarzū dil tumhārī jumbish-e-lab par

tamannā ab bar aatī hai agar kuchh lab-kushā tum ho

hamari aarzu dil ki tumhaari jumbish-e-lab par

tamanna ab bar aati hai agar kuchh lab-kusha tum ho

Raqim Dehlvi
  • Share this
  • Critique

bayān-e-dard-āgīñ hai kahegā ke kyā qāsid

hadīs-e-ārzū merī pareshāñ dāstāñ merī

bayan-e-dard-agin hai kahega ja ke kya qasid

hadis-e-arzu meri pareshan dastan meri

Raqim Dehlvi
  • Share this
  • Critique

mujhe har-qadam terī justujū mujhe har-nafs terī aarzū

mujhe apnā ġham hai na ġham-e-jahāñ terī shaan jalla-jalāluhu

mujhe har-qadam teri justuju mujhe har-nafs teri aarzu

mujhe apna gham hai na gham-e-jahan teri shan jalla-jalaluhu

Mael Warsi
  • Share this
  • Critique

sikhā.ī naaz ne qātil ko bedardī ḳhū barsoñ

rahī betāb siina meñ hamārī aarzū barsoñ

sikhai naz ne qatil ko bedardi ki KHu barson

rahi betab sina mein hamari aarzu barson

Aziz Safipuri
  • Share this
  • Critique

yahī aarzū dil meñ dhartā achhe

ḳhudā suuñ munājāt kartā achhe

yahi aarzu dil mein dharta achhe

KHuda sun munajat karta achhe

Faez
  • Share this
  • Critique

lagte Thes TuuT gayā sāz-e-ārzū

milte aañkh shīsha-e-dil chuur chuur thā

lagte hi Thes TuT gaya saz-e-arzu

milte hi aankh shisha-e-dil chur chur tha

Jigar Moradabadi
  • Share this
  • Critique

kuchh aarzū se kaam nahīñ 'ishq' ko sabā

manzūr us ko hai vahī jo ho razā-e-gul

kuchh aarzu se kaam nahin 'ishq' ko saba

manzur us ko hai wahi jo ho raza-e-gul

Khwaja Ruknuddin Ishq
  • Share this
  • Critique

mirī aarzū ke charāġh par koī tabsira bhī kare to kyā

kabhī jal uThā sar-e-shām se kabhī bujh gayā sar-e-shām se

meri aarzu ke charagh par koi tabsira bhi kare to kya

kabhi jal uTha sar-e-sham se kabhi bujh gaya sar-e-sham se

Aziz Warsi Dehlvi
  • Share this
  • Critique

ye aarzū hai ki me.arāj-e-zindagī ho jaa.e

ġhulām dar-e-āqā pe hāzirī ho jaa.e

ye aarzu hai ki mearaj-e-zindagi ho jae

ghulam ki dar-e-aqa pe haziri ho jae

Ejaz Warsi
  • Share this
  • Critique

pūchhte haiñ vo aarzū 'kausar'

dil meñ armāñ ek ho to kahūñ

puchhte hain wo aarzu 'kausar'

dil mein arman ek ho to kahun

Kausar Warsi
  • Share this
  • Critique

sāhil aarzū nahīñ ta.alīm-e-mustafā

ye naav to rozāna mañjdhār se huī

sahil ki aarzu nahin talim-e-mustafa

ye naw to rozana hi manjdhaar se hui

Muzaffar Warsi
  • Share this
  • Critique

'kausar' vasl shāh-e-hasīnāñ aarzū

mujh ko nahīñ jahāñ meñ havas māl-o-jāh

'kausar' wasl shah-e-hasinan ki aarzu

mujh ko nahin jahan mein hawas mal-o-jah ki

Kausar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

vo mal ke dast-e-hinā.ī se dil lahū karte

ham aarzū ko hasīñ ḳhūn-e-ārzū karte

wo mal ke dast-e-hinai se dil lahu karte

hum aarzu ko hasin KHun-e-arzu karte

Riyaz Khairabadi
  • Share this
  • Critique

dījiye un ko kanār-e-ārzū par iḳhtiyār

jab vo hoñ āġhosh meñ be-dast-o-pā ho jā.iye

dijiye un ko kanar-e-arzu par iKHtiyar

jab wo hon aaghosh mein be-dast-o-pa ho jaiye

Seemab Akbarabadi
  • Share this
  • Critique

vo tajallī jis ne dasht-e-ārzū chamkā diyā

kuchh to mere dil meñ hai aur kuchh kaf-e-mūsā meñ hai

wo tajalli jis ne dasht-e-arzu chamka diya

kuchh to mere dil mein hai aur kuchh kaf-e-musa mein hai

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

sab kuchh ḳhudā ne mujh ko diyā 'arsh' be-talab

duḳhtar aarzū na tamannā pisar hai

sab kuchh KHuda ne mujh ko diya 'arsh' be-talab

duKHtar ki aarzu na tamanna pisar ki hai

Arsh Gayavi
  • Share this
  • Critique

aarzū ke dil pe ā.eñgī na kyā kyā āfateñ

dar-pai-e-inkār hai nā-āshnā.ī aap

aarzu ke dil pe aaengi na kya kya aafaten

dar-pai-e-inkar hai na-ashnai aap ki

Hasrat Mohani
  • Share this
  • Critique

mujhe aish-o-ġham meñ ġharaz nahīñ agar aarzū hai to hai yahī

ki umañg ban ke chhupā rahe koī dil ke parda-e-rāz meñ

mujhe aish-o-gham mein gharaz nahin agar aarzu hai to hai yahi

ki umang ban ke chhupa rahe koi dil ke parda-e-raaz mein

Wali Warsi
  • Share this
  • Critique

aarzū lāzim hai vaj.h-e-ārzū ho na ho

iltifāt us kāfir-e-ḳhud-bīñ ḳhū ho na ho

aarzu lazim hai wajh-e-arzu ho ya na ho

iltifat us kafir-e-KHud-bin ki KHu ho ya na ho

Hasrat Mohani
  • Share this
  • Critique

ummīdeñ tujh se thiiñ vābasta lākhoñ aarzū lekin

bahut ho kar tirī dargāh se be-e'tibār aa.ī

ummiden tujh se thin wabasta lakhon aarzu lekin

bahut ho kar teri dargah se be-e'tibar aai

Hasrat Mohani
  • Share this
  • Critique

bahār aane aarzū kyā bahār ḳhud hai nazar dhokā

abhī chaman jannat-nazar hai abhī chaman patā nahīñ hai

bahaar aane ki aarzu kya bahaar KHud hai nazar ka dhoka

abhi chaman jannat-nazar hai abhi chaman ka pata nahin hai

Afqar Mohani
  • Share this
  • Critique

tere ġham harsat-o-ārzū hai zabān-e-ishq meñ zindagī

jinheñ mil gayā hai ye mudda.ā vo maqām-e-zīst bhī ga.e

tere gham ki harsat-o-arzu hai zaban-e-ishq mein zindagi

jinhen mil gaya hai ye muddaa wo maqam-e-zist bhi pa gae

Sadiq Dehlvi
  • Share this
  • Critique

azal se abhī tak to yaksāñ hai 'ālam

yahī aarzū thī yahī aarzū hai

azal se abhi tak to yaksan hai 'alam

yahi aarzu thi yahi aarzu hai

Behzad Lakhnavi
  • Share this
  • Critique

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Related Tags

Speak Now