wahi bazm hai wahi mai-kada wahi mai-kada ka maqam hai

wahi bazm hai wahi mai-kada wahi mai-kada ka maqam hai
Akhtar Mahmood Warsi
MORE BYAkhtar Mahmood Warsi
vahī bazm hai vahī mai-kada vahī mai-kada kā maqām hai
magar ek un ke na hone se na vo sub.h hai na vo shaam hai
huā jab se pīr-e-muġhāñ nihāñ huā bazm kā kuchh 'ajab samāñ
na vo mai-kada na vo jaam hai na vo mai-kada kā nizām hai
diyā gulistāñ ke liye lahū sahe har tarah ke sitam magar
na chaman meñ hai merā zikr ab na vafā-shi.āroñ meñ naam hai
kabhī ek sajda se hotī thī tirī jalva-gāh kī raah tai
magar ab kahāñ vo ḳhulūs-e-dil na vo muqtadī na imaam hai
hai har ek zarra se vo 'ayāñ go vo laakh pardoñ meñ hai nihāñ
jo nazar na aa.e nigāh ko to 'aqīdat apnī hī ḳhaam hai
jo kaheñ bhī un se to kyā kaheñ vo suneñge dil kā fasāna kab
vo jab is tarah se haiñ bad-gumāñ na salām hai na payām hai
jise pīte-pīte nigāh se the hijāb jitne vo uTh ga.e
ye batā de shaiḳh-e-haram mujhe vo sharāb kaise harām hai
yahī rashk roz-e-azal se hai yahī fikr hūr-o-malak ko hai
na farishta jā sake jis jagah vo bashar kā adnā maqām hai
faqat ek ‘akHtar-e-be-navā tire naqsh-e-pā pe hai chal rahā
ye vo daur varna hai sāqiyā ki har ek riñd imaam hai
wahi bazm hai wahi mai-kada wahi mai-kada ka maqam hai
magar ek un ke na hone se na wo subh hai na wo sham hai
hua jab se pir-e-mughan nihan hua bazm ka kuchh 'ajab saman
na wo mai-kada na wo jam hai na wo mai-kada ka nizam hai
diya gulistan ke liye lahu sahe har tarah ke sitam magar
na chaman mein hai mera zikr ab na wafa-shiaron mein nam hai
kabhi ek sajda se hoti thi teri jalwa-gah ki rah tai
magar ab kahan wo KHulus-e-dil na wo muqtadi na imam hai
hai har ek zarra se wo 'ayan go wo lakh pardon mein hai nihan
jo nazar na aae nigah ko to 'aqidat apni hi KHam hai
jo kahen bhi un se to kya kahen wo sunenge dil ka fasana kab
wo jab is tarah se hain bad-guman na salam hai na payam hai
jise pite-pite nigah se the hijab jitne wo uTh gae
ye bata de shaiKH-e-haram mujhe wo sharab kaise haram hai
yahi rashk roz-e-azal se hai yahi fikr hur-o-malak ko hai
na farishta ja sake jis jagah wo bashar ka adna maqam hai
faqat ek ‘akHtar-e-be-nawa tere naqsh-e-pa pe hai chal raha
ye wo daur warna hai saqiya ki har ek rind imam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.