Font by Mehr Nastaliq Web

jo sālik hai to apne nafs kā irfān paidā kar

Seemab Akbarabadi

jo sālik hai to apne nafs kā irfān paidā kar

Seemab Akbarabadi

jo sālik hai to apne nafs irfān paidā kar

haqīqat terī kyā hai pahle ye pahchān paidā kar

jahāñ jaane ko sab dushvār dushvār kahte haiñ

vahāñ jaane koī rāsta āsān paidā kar

haqīqat kahe jo haal kar aisī zabāñ paidā

mohabbat ke suneñ jo giit aise kaan paidā kar

hudūd-e-ālam-e-takvīñ meñ sab mumkin mumkin hai

nā-mumkin ke jhagḌe meñ na paḌā imkān paidā kar

ilāhī bhed tere us ne zāhir kar diye sab par

kahā thā kis ne 'sīmāb' ko insān paidā kar

jo sālik hai to apne nafs irfān paidā kar

haqīqat terī kyā hai pahle ye pahchān paidā kar

jahāñ jaane ko sab dushwār dushwār kahte haiñ

wahāñ jaane koī rāsta āsān paidā kar

haqīqat kahe jo haal kar aisī zabāñ paidā

mohabbat ke suneñ jo git aise kan paidā kar

hudūd-e-ālam-e-takwīñ meñ sab mumkin mumkin hai

nā-mumkin ke jhagḌe meñ na paḌā imkān paidā kar

ilāhī bhed tere us ne zāhir kar diye sab par

kahā thā kis ne 'sīmāb' ko insān paidā kar

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now